ye jo halka halka suroor hai

saakiya kya pila diya tune
pite pite jala diya tune
na khabar apni hai na aalam ki
masto bekhud bana diya tune

ye jo halka halka suroor hai
ye teri nazar ka kusoor hai
ke sharaab peena sikha diya

meri bada noshi ke waaste
koi kaid e jaam o sabu nahi
mujhe kaif rehta har ghadi
ye teri nigah ki baat hai

tere karam ka bhala kya shumaar hai saaki
jise bhi dekha wo mehve khumaar hai saaki
wo bada nosh hun mauko hayaat ka jiski
teri nazar pe hi daaromdaar hai saaki
rahe na koi bhi mehroom tere maston me
ke maikade ka tu parwardigar hai saaki
wo kaun hai jo tere maikade se bach nkla
teri nazron ka to aalam shikaar hai saaki

sharaab kaisi khumaar kaisa
ye sab tumhaari nawaazishein hain
pilaayi hai kis nazar se tune
ke mujhko apni khabar nahi hai

ye kaisa jaam e muhabbat pila diya tune
ke dil mein husn ka naksha jama diya utne
tera ata ke tasadduq teri ata ke nisaar
main kya tha aur mujhe kya bana diya tune

saara jahaan mast jahaan ka nizam mast
din mast raat mast sehar mast shaam mast
khum mast sheesha mast sab mast jaam mast
hai teri chashme mast se har khaas o aam mast

ye jo saaki har tarah ki tere maikhaane mein hai
wo bhi thodi si jo in aankhon ke paimaane mein hai

sab samajhta hoon teri tishnagari ye saaki
kaam karti hai nazar naam hai paimaane ka

tera pyaar hai meri zindagi
main azal se banda e ishq hoon
mujhe zauhdo kufr ka gham nahi
mere sar ko dar tera mil gaya
mujhe ab talash e haram nahi
meri bandagi hai wo bandagi
jo rahim e dair o haram nahi
mera ik nazar tujhe dekhna
bakhuda namaaz se kam nahi

tera naam loon zubaan se tere aage sar jhuka doon
mera ishq keh raha hai main tujhe khuda bana loon
tera naam mere lab par mera taskara hai har ghar
mujhe bhool jaaye duniya main agar tujhe bhula doon
mere dil mein bas rahe hain tere bepanah jalwe
na ho jismein nopor tera wo chirag hi bujha doon
teri dillagi ke sadke teri sangdili ke qurbaan
mere gham pe hasne waale tujhe kaun si dua doon

qayaamat mein tera daag e muhabbat le ke uthoonga
teri tasveer us waqt bhi kaleje se lagi hogi

lekar tumhara naam jahaan jhuka diya
maine usi dayar ko kaaba bana liya

na namaaz aati haiujhko na wazu aata hai
sajda kar leta hoon jab saamne tu aata hai

tera pyaar hai meri zindagi teri yaad hai meri bandagi
teri khushi hai meri khushi ye tere junoon ka hai mauj sa
jahaan apne sar ko jhuka diya wahaan maine kaaba bana diya

kabhi mere saamne aayiye
musa nahi hoon main mujhe taabe nazar bhi hai
wo toor hi tha jo jal gaya tha
wo kaleem hi the jo gir pade the
main ab bhi seen e safar hun

main musa nahi jo gir jaaun
mujhe gir ke sambhalna aata hai

kabhi mere saamne aayiye mujhe apna jalwa dikhaayiye
mere dil ki pyas bujhayiye ye hai kaisa pyaar bataayiye
jo kaha na taab uthayiye toh zara sa jalwa dikha diya

mere baad kisko sataaoge
umar bhar pachchtaoge tum mujhko thukrane ke baad
kispe todoge sitam phir mere mit jaane ke baad

ye ada e beniyazi tujhe bewafa mubarak
magar aisi berukhi kya jo salaam tak na pahunche

maine kaha mizgan hai ye usne kaha ye teer hai
maine kaha aabru hain ye usne kaha shamsheer hai
maine kaha chehre pe kyun bal khaati hain zulf e siha
usne kaha ye aashiqon ke waaste zanjeer hai
maine kaha furqat mein teri jaan pe khela hoon main
usne kaha zinda raha ye bhi teri takdeer hai
maine tumko dil diya tumne mujhko rusva kiya
maine tumse kya kiya aur tumne mujhse kya kiya

dil jalon se dillagi achchi nahi
rone waalon se hasi achchi nahi
dillagi hi dillagi mein dil gaya
dil lagane ka nateeja mil gaya
main toh rota hoon ke mera dil gaya
tum kyun hasnte ho tumhein kya mil gaya

jo poocha ke kis tarah hoti hai baarish
jabeen se paseene ki boondein gira deen
jo poocha kaise girti hai bijli
nigahein milaayin milaakar jhuka deen
jo poocha shab e roz milte hain kaise
to chehre pe apne wo zulfein gira deen
jo poocha ke naghmon mein jadu hai kaisa
to meethe takallum mein baatein suna deen
jo apni tamannaon ka haal poocha
to jalti hui chand shammein bujha deen

main kehta reh gaya
khata e muhabbat ki ahchi saza di
mere dil ki duniya bana kar mita di

meri wafayein yaad karoge ro ro ke fariyaad karoge
mujhko toh barbaad kiya hai aur kisko barbaad karoge

mere baad kisko sataoge mujhe kis tarah se mitaoge
kahan jaake teer chalaoge mere dosti ki balayein lo
mujhe haath utha ke duaein do uthne ke kaabil bana di

mujhe dekho khwahish e jaan e jaan main wohi hoon anwar e neem jaan
tumhein itna hosh tha jab kahaan na chalao is tarah tum zubaan
karo mera shukriya meherbaan tumhein baat karna sikha diya

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha