Sochta hoon ke woh kitne masoom the

Roothna mera kaargar na hua
Yaar mere jatan ko jaan gaya
Jab wo aaya mujhe manane ko 
main badi saadgi se maan gaya

Tumhare pyar ka dam bhar raha hoon
Badi paakidagi se marr raha hoon
Mujhe tumse garaz kuch nahi hai
Fakat tumse mohabbat kar raha hoon

Achchi Surat ko sawarne ki zarurat kya hai
Saadgi mein bhi kayamat ki ada hoti hai
Tum Jo aa jate ho masjid mein ada Karne namaaz 
Tumko maloom hai kitnon ke kaza hoti hai

Aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya
Apne ujde hue daman ko Bahut yaad kiya
Jab kabhi gardish e taqdeer ne ghera hai humein
Gaisu e yaar ki uljhan ko Bahut yaad kiya

Aaj toote hue sapnon ki Bahut yaad aayi
aaj beete hue sawan ko Bahut yaad kiya

Sochta hoon ke woh kitne masoom the 
Kya se kya ho Gaye dekhte dekhte

Maine patthar se jinko banaya sanam
Wo khuda ho gaye dekhte dekhte

Mere haathon se tarashe hue patthar ke sanam
Mere hi saamne bhagwan bane baithe hain

Jin pattharon ko humne ata ki thi dhadkane
Wo bolne lage to humhi par baras pade

Hashar hai wahshat e dil ki aawargi
Humse poocho mohabbat ki deewangi
Jo pata poochte the kisi ka kabhi 
La pata ho gaye dekhte dekhte 

aap yaadon mein hain aap khwabon mein hain
Aap sanson mein hain aap aankhon mein hain

Ab to rah e mohabbat mein hum aapka 
Aina ho gaye dekhte dekhte 

Humse ye Soch kar koi wada karo...

Din chup gaya suraj ka kahin naam Nahin hai
O wada shikan ab bhi Teri shaam nahi hai

Tumhara aana na aana 
tamanna ka hai mar jana

Kab aaoge jab aoge
Kya banke qayamat ka sabab aaoge
Chayi hai ghata Aur barasti hai sharaab
Ab bhi nahi aaye to kab aaoge

Dil pe chot lagti hai unke muskarane se
Ho sake to ab jao kisi bahane se

Tera zulm nahin hai shamil gar meri Barbadi mein 
Teri ankhein kyon bheeg rahi hain mere afsane se

Aate ho tadapate ho jaate ho tadapate ho
Tera na aana hi behtar hai is aane jaane se

Humse ye Soch kar koi wada karo
Ek wade pe umarein guzar jayengi
Ye hai duniya yahan kitne aehle wafa 
Bewafa ho gaye dekhte dekhte

Gair ki baat 'Tasleem' kya kijie
Ab to Khud par bhi humko bharosa nahin
Apna saya samajhte the jinko kabhi
Wo juda ho gaye dekhte dekhte

Comments

  1. بہت ہی خوب،،، زبردست،کمال است

    ReplyDelete
  2. jinko pathar se humne bnaya sanam vo khuda ho gye dekhte dekhte ... waah ustad g waah

    ReplyDelete
  3. jinko pathar se humne bnaya sanam vo khuda ho gye dekhte dekhte ... waah ustad g waah

    ReplyDelete
  4. Humse ye Soch kar koi wada karo...
    Aik waade par umrein guzar jaayengi...
    Ye he duniya yahan kitne ehde wafa..
    bewafa ho gaye dekhte dekhte...

    yeh baad ke 3 misre missing the, jo upar likhe he

    ReplyDelete
  5. Husrat sahib to singer hain. Poet kon hai?

    ReplyDelete
  6. Nusrat sahib to singer hain. Poet kon hai?

    ReplyDelete
  7. The poet is not known, I'll post the name as soon as I get to know.

    ReplyDelete
  8. Shirkiya alfaaz (wo khuda hogaye dekhty dekhty )

    ReplyDelete
  9. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  10. As-Salamu Alakum meri bhaio Ya ghazal kis nay likah hei

    ReplyDelete
  11. Achchi Surat ko sawarne ki zarurat kya hai
    Saadgi mein bhi kayamat ki ada hoti hai
    Tum Jo aa jate ho masjid mein ada Karne namaaz
    Tumko maloom hai kitnon ke kaza hoti hai

    ReplyDelete
  12. Hashar hai wahshat e dil ki aawargi
    Humse poocho mohabbat ki deewangi
    Jo pata poochte the kisi ka kabhi
    La pata ho gaye dekhte dekhte

    ReplyDelete
  13. hello, i come across your blog and i have checked its ranking, can you help me as i also have some blogs. how can i rank them higher in alexa.my email id ruchi83me@gmail.com.

    ReplyDelete
  14. Can anyone translate to English or Hindi?

    ReplyDelete
  15. Ye wala version youtube par nahi mil raha hai please share link

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil