Kali kamli mein Jo
Malik ul mulq la shareeka la hoo
Wahda hu la ilah illah hu
Shams tabrez gar khudaya talabeen
Khushboo khwan la ilah allah hu
Tazeem se leta hai khuda naam e Muhammad
Kya naam hai e salle allah naam e Muhammad
Allah kare uspe haram aatishe do zakh
Jis shakhs ke ho dil pe Likha naam e Muhammad
Aaya labon pe zikr Jo hai allah naam ka
Sauda hua buland durood O salaam ka
Mujh par nisar hone lagin mastiyan tamaam
Main zikr kar raha tha Muhammad ke naam ka
Musa se sare toor kalam apni jagah hai
Sarkar e madina ka makaam apni jagah hai
Hai sare rasoolon mein siva shaan e Muhammad
Tasbi hi ke daanon mein imaam apni jagah hai
Kali kamli mein Jo zeeshan nazar aata hai
Doob jane ke jab aasar nazar aate hain
Kali kamli mein wo sarkar nazar aate hain
Kya kahiye ki kya Dekha roze pe Muhammad ke
Beparda khuda Dekha parde mein Muhammad ke
Har nazar kaamp uthegi mehshar ke din
Maut se har kaleja dahal jayega
Ohd kar kali kamli wo aa jayenge
Hashar ka saara naksha badal jayega
Kali kamli mein Jo zeeshan nazar aata hai
Dono aalam ka woh nigahban nazar aata hai
Sayyad e kauno makan Teri ataon ke nisar
Tera mohtaz bhi sultan nazar aata hai
Ankh uthti hai to milta hai talawat ka maza
Tera chehra humein Quran nazar aata hai
Tujhe sochna mohabbat
Tujhe Dekhna ibadat
Yahi meri bandgi hai
Ki main karun Teri talawat
Tumhare rukh ko hai dil mein sumo liya
To hum aaj hafiz e Quran ho gaye
Ishq ko unke na kyon dil se lagakar dekhun
Meri bakshish ka ye samaan nazar aata hai
Farsh pe tooti chatai hai bichchona jiska
Arsh e aazam ka woh mehman nazar aata hai
Yun nazar aata hai kamli mein Muhammad ka jamaal
Jaise juzdaan mein Quran nazar aata hai
Mere sarkar ki tazeem hai jiske dil mein
Mujhko wo sacha musalman nazar aata hai
Ibtida karta hoon jab naam e Muhammad se main
Kaam dushwar bhi aasan nazar aata hai
Comments
Post a Comment