mere nabi pyare nabi hai martaba aala tera

ya rab ba tufail e rasool us saqlain
ya rab batufail e fatahe badr o hunain
isiyan e mara do hissa kun dar ara saat
neem e ba hassan ba baksh neem e na hussain

yeh lutf yeh tumhaara karam bemisaal hai
har ik hunahgaar ka tumko khayaal hai
ho mere haal pe bhi nigah e karam nawaaz
sarkra ik nigah e karam ka sawaal hai

rabb ne farmaya meri qudrat ki hadd koi nahi
aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi
jab malak samjhe nahi to aadmi samjhega kya
aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi

bazahir kibriya tujhse juda hai
magar tujhse zahoor e kibriya hai
teri azmat ka andaaza ho kisko
khuda hai aur khuda ke baad tu hai

mere nabi pyare nabi hai martaba aala tera
jis jaan koi pahuncha nahi dekha wahan jalwa tera

khairaat deta hai khuda har waqt tere naam ki
jisko mila jo kuch mila jitna mila sadka tera

rehmat thi poore josh par main bhi na tha kuch bekhabar
tujhse tujh hi ko maang kar acha raha mangta tera

sarkash jo the maayil hue dushman jo the kaayil hue
mashoor yun tha is qadr ya mustafa lehza tera

aye sarwar e duniya o deen tujhsa nabi koi nahi
husn e yusuf dam e isa yade baizadari
aan che zuma hama darand tu tanhadari

shaafa e hashar shahenshah e jahan shah e ummam
dono aalam mein nahi tumsa haseen teri kasam
ek main kya teri soorat pe fida hai aalam
manam e dil ba jamaal e to ajab e aalam
allah allah che jamaal ast bade pur ajabeen

musa ko bhi dekha yusuf ko bhi dekha 
haroon ko bhi dekha musa ko bhi dekha
par tumsa nabi koi nahi

meraj ki shab jibreel se kehte the yeh shah e ummam
tune dekhe hain laakhon haseen batlao to kaise hain ham
jibreel ne ki arz aye shah e tu haq ki kasam
aafa kaha gar dida um mehar e butan gar dida um
isiar khugan dida um lekin tu cheez e dighar i

shah e yasrabi tere husn ki kisi taab jo kare hamsareen
na gulon mein aisi shaguftagi na yeh rang o boo na yeh taazgi
yeh anokhi chabb yeh nayi phaban

jisne kamal az do jahan shaan e tajallah dekhi
arsh sajda sa banti hui duniya dekhi
tere qdmon mein jhukho saare rasoolon ki jabeen
sabne allah ko maana teri dekha dekhi

aisa tujhe khaalik ne tarahdaar banaaya
yufuf ko tera taalib e deedaar banaaya
konain banaaye gaye sarkaar ki khaatir
konain ki khaatir tumhein sarkaar banaaya
punji tumhein di apne khazaanon ki khuda ne
mukhtaar kiya maalik o mukhtaar banaaya

gokal khoondha mathura dhoondha
poorab dhoondha pashchim dhoondha
tujhsa nabi koi nahi

tu jo allah ka mehboob hua khoob hua
ya nabi khooob hua khoob hua

tera saani hor na milleya
main dhoondh leya jag saare nu

aye sarwar e duniya o deen tujhsa nabi koi nahi
karti thi hoorein jhoom kar sallealla se raah tera

tera saraapa ya nabi tafseer hai quran ki
walail noor tha hajabeen bas shams hai chera tera

ya mustafa ya mujtaba bhar dijiye kaasa mera
kardo karam rakhlo bharam saayil hoon main daata tera

har jaan pe teri mehfilein har jaan tujh hi se raunakein
farsh e zameen arsh e bareen shohra tera charcha tera

aye waris e arz o sama chashm e karam dar haal e ma
zaahir agar na baashid poshida gahe gahe
aye khusrave haseena aye shaahe nazneena

chashme e rehmat ba kusha sooe manam taab e nazar
aye kurashi la kabhi hashim ya mut al abi

aye khusrave khooban nazar e soo e gada kun
chasme karam dar haal e ma

ya rasool allah ba dargah haq fana awurda um
ham cho gahe aaj zam bo ho gunah aawurda um
gair e to malcha o mawa nest dar hardo sara
reham kun aye sayiid haal e gada awurda um
chaar cheez awurda um shaaha ke dar ganj e do nest
bekasi e nakasi ij zo gunah awurda um

gar to man dam ya rasool allah bar manam tu e
gushtab e ishq to um isaaye dauranam tu e
man gada e benawa sultan e zeeshanam tu e

na munis mein hai na koi mera ham dam mera aye rasool allah
tumhara aasra hai jaan e aalam ya rasool allah
magaz ka waqt hai mere mukarram ya rasool allah
ghareebam benawa am khaak saaram ya rasoba ol allah

aye qamar tal at e maki matala
nazar e mehve ya mane pur ka
dast e ummeed ba damaan e chawand
chashme e giriaan ba shikar khandahe to
khaas jami je kami bandar e to
chasme e girian ba shakr khanda e to

aye waris e arz o sama chashm e karam dar haal e ma
dekhe niyaazi aye shaha phir gumbad e khazra tera

Comments

  1. سُبْØ­َان الله عزوجل

    اَÙ„ْسَÙ„َامُ عَÙ„َÙŠْÙƒُÙ…ْ ÙˆَرَØ­ْÙ…َØ©ُ اللهِِ ÙˆَبَرَكاتُÙ‡ُ

    Mujhe ek qawwali ki lyrics chhaiye
    Meri Baah na Chodi ve Sahiba main lar lag gai *
    Sher Ali Mehr Ali qawwali

    Pls munasib Ho toh upload kar deina
    جزاك الله خيرا

    ReplyDelete
  2. Qaseedah diwan e Ali ki lyrics mil skti hain ?

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha