naam lab pe rahega sada aapka

maalik ul mulk la shareeka la hu
wahdahu la ilah illah hu
shams tabrez gar khuda talabeen
khushboo khwan la ilah ilah hu

behad ne ajab kaam kiya hadd kar di
guzarish e tanqeed meri radd kar di
khud to parde mein rahe khud ko chhupaane ke liye
phir saamne tasveer e muhammad kar di

lab pe jab unka naam aata hai
la makaan se salaam aata hai
rehmaton ka nazool hota hai
jab muhammad ka naam aata hai

naam lab pe rahega sada aapka
aye mere sarware ambiya aapka

nizaam e qabr mein sarre mehshar
naam lab pe rahega aapka

naam e muhammad ki lazzat kisi mushtaq se poocho
ho jaate hain wo fida sun kar naam e muhammad

aaya labon pe zikr jo khair ul anaam ka
gauga hua buland durood o salaam ka
mujh par nisaar hone lagi mastiyaan tamaam
main zikr kar raha tha muhammad ke naam ka

aye aamina ke chaand
naam lab pe rahega aapka

naam anami rasool e akram ka
har musibat mein kaam aata hai

ya muhammad muhammad main kehta raha
noor se motiyon ke ladi ban gayi
aayaton se milaata raha aayatein
phir jo dekha to naat e nabi bann gayi

dono aalam mein koi bhi saani nahi
hue ambiya aur bhi shaan waale
lekin aapki shaan apni jagah hai

martaba haq se kisi ko aisa na mila
taaj e khusro ki kasam takht e suleiman ki kasam

tumhara saani rasalat ma'aab ho na saka
tumhara kahin bhi koi jawaab ho na saka

nigah barq nahi chehra aaftaab nahi
wo aadmi hai magar dekhne ki taab nahi
bana ke aapko khaalik ne ye irshad kiya
mera jawaab to tu hai tera jawaab nahi

koi falak utte reh yaar gaya
koi jaan sidran te haar gaya
mere kamli waaleya mehbooba
tu lang arshan ton paar gaya

koi misl na dholan di
chup kar mehar ali ethe ja nai bolan di

dono aalam mein koi bhi saani nahi
dono aalam ke mushkil-kusha aapka

haq se milne chale to ye arshe ula
dekhta reh gaya raasta aapka

soo e 'Nadir' bhi ho ek nazar e karam
siyah gesu waale siyahkaar hoon main
karam karo mere aaka gunahgaar hoon main

soo e 'Nadir' bhi ho ek nazar e karam
hai yeh mangta shahe do sara aapka

gada e shahe arab hai faqeer e raah nahi
faqeer wo hai ke nazron mein baadshah nahi

Comments

  1. Can you help me understand a few lines in punjabi? Please let me know if I can post it to you.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Yeah, you can tell which lines.

      Delete
    2. Sadi akh di ramaj nu samaj...
      Akhan gehriyan hamesha kehndiya sach...
      Mainu farsho arshi charha jave...
      Teri nazar sawalli ho jave...

      Delete
    3. The lines go as follows:

      Understand the feelings behind my eyes
      Deep eyes always say the truth
      I ascend from this world to heaven
      If your grace is bestowed on me

      Delete
  2. hello, i come across your blog and i have checked its ranking, can you help me as i also have some blogs. how can i rank them higher in alexa.my email id ruchi83me@gmail.com.

    ReplyDelete
  3. Good sir if it's possible could you translate the poem to English please since I don't understand the language. Thanks.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil