Agar furqat ke sadme kam na honge

agar furqat ke sadme kam na honge
kisi din dekh lena ham na honge

jo darr jayein ajal ka naam sun kar
wo koi aur honge ham na honge

tera kamat uthayega jo fitne
qayamat se wo fitne kam na honge

charaag aahon ka sehme gulsitaan mein
bahaarein hongi lekin ham na honge

jo hain waabasta e dargah e jeelan
'Naseer' unke kahin sar kham na honge

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha