Posts

mujhpe bhi chashme karam

mujhpe bhi chashme karam aye mere aaqa karna haq to mera bhi hai rehmat ka takaaza karna main je zarra hoon mujhe busate sehra de de ke tere bas mein hai qatre ko bhi dariya karna main hoon bekas tera shewa hai sahaara dena main hoon bimaar tera kaam hai achha karna tu kisi ko bhi uthaata nahi apne dar se ke teri shaan ke shaayan nahi aisa karna tere sadke wo ussi rang mein khud hi dooba jisne jis rang mein chaaha mujhe ruswa karna yeh tera kaam hai aye aamina ke durre yatim saari ummat ki shafa-at tanne tanha karna aur un sahaaba ki khushatwaar nigahon ko salaam jinka maslaq tha tawaaf e rukh e zeba karna mujhpe mehshar mein 'Naseer' unki nazar pad hi gayi Kahne wale ise kahte h khuda ka karna

main nazar se pee raha hun

nazar se nazar ab milaayi gayi hai main peeta nahi tha pilaayi gayi hai main nazar se pee raha hun yeh sama badal na jaaye teri nazron se pee hai khuda ki kasam umar saari nashe mein guzar jaayegi peene ki aarzoo na pilaane ki aarzoo hai tumse faqat nigah milaane ki aarzoo hai meri badanoshi ke waaste koikais e jaam o subu nahi mujhe kaif rehta hai har ghadi yeh teri nigah ki baat hai wo nazar uthi toh maikhaane bane mera dil toota toh paimaane bane mudaaton se aarzoo thi hosh ki hosh aaya toh deewane bane tere karam ka bhala kya shumaar hai saaki jise bhi dekha wohi mehve khumaar hai saaki wo badanosh hoon mauka hayat kya jiski teri nazar pe hi daromdaar hai saaki wo kaun hai jo tere maikade se bach nikla teri nazar ka toh aalam shikar hai saaki na jhukaao tum nigahein kahin raat dhal na jaaye jhuki jhuki si nigahon ne zulf e barham ne wo baat khol ki rakh di jo thi chhupaane ki yeh udi udi si rangat yeh khule khule se gesu teri subah keh rahi hai ...

jogan hoon tore darbaar ki

kadri dharti hai baba mere izzat meri tere hi naam ka sadka hai yeh shohrat meri tere hi naam ka nusrat ko sahaara baba tere hi naam ke sadke se hai shohrat meri aye deewaano zaro kar lo ziarat mere baba ki khuda ke noor ka mazhar hai soorat mere baba ki ali ke laal hain baba nabi ki aal hain baba badal deti hai takdeerein yeh nisbat mere baba ki hazaaron baadshah aaye gaye har saltanat badli na badli hai na badlegi hukoomat mere baba ki sayiyaan nagar ki poochhat mohe kaun tiharo var hai laaj ki maari keh na sakun main var mora ganj e shakar hai koi kisi ka koi kisi ka aur main jogan hoon baba tori jogan hoon tore darbaar ki baba dil mein lagan hai tore pyar ki itt utt bhatkat umar gawaayi sukh kaate bina rasta dikhaayi bipta ki maari tore charno mein aayi paon lago bhi to main nahi chalungi baba tera dar chhor ke main kahan jaaungi khuda ne diya hai mujhe tera dar khas khas jehna kadr nu vehda mere baba nu wadeyayiyaan main kadeyan da rooda kooda mai...

sab vird karo allah allah

sab vird karo allah allah ohnu yaad karo allah allah jehda saare jag da waali e ohda zikr karo allah allah oh beparwah te kalla e koi hor na ohde warga e na ohne kise nu jaaya e na kise nu oh jamaaya e har shai vich ohda basera e har thaan te ohda dera e

bhareya ni vehda mera sajna de naal

bhareya ni vehda mera sajna de naal sayyo ni mero dewo mubarik mainu rang fareedi chadeya ni vehda mera sajna de naal barkat khwaja ganj e shakar di mera khair janaabon bhareya ni ya khwaja mere ghar vich aaye mera vehda bhagi bhareya ni

rahwe wasdi jhok fareedan di

assan tul da warka paadeya assan ik nu jaata ain eh daseya peer fareed ne eho haq ki sidhi ain sadda murshid maula murtaza sadde waris hassan hussain rahwe wasdi jhok fareedan di mere mahiye di mere dholan di lajpaalan nu zeb ne denda chhad jaana augun haaran wadi jhok samajh ke aa gaye shala lagiyan rehan bahaaran jhoki sukh wase mere ranjhne di jithe hon ghareeban de haj maaye peer fareed da dar mileya e hor daware jaayiye kyun chhad ke ehna sakhi dawaara dar dar dhakke khaayiye kyun ki dil da haal bayaan karan ethe chaah na koi bolan di rahwe wasdi jhok fareedan di mere mahiye di mere dholan di sab aase kaase bhann baithe assi peer fareed nu mann baithe hun lor na dukhde kholan di rahwe wasdi jhok fareedan di mere mahiye di mere dholan di

jo log gardish e dauraan se maat khaate hain

sultan e mulk e aashiqan shah e jahan e dilbari aye khwaja e paak e pattan sarkar ganj e shakari tera jalaal e aashiqi tera jamaal e dilbari khwaja nizamuddin wali makhdoom sabir kaliyari saajid kahein koi middati saare kahein mushrif hamein apna to haj e akbari baba ke dar ki haaziri jo log gardish e dauraan se maat khaate hain fareeduddin hi unko gale lagaate hain na dekhi gair ki soorat tumhare mangton ne gair dekha hai na gairon ki nazar dekhi hai meri nazron ne faqat teri nazar dekhi hai maine woh kufr kiya kufr bhi kufr e aazam teri soorat ke siwa koi agar dekhi hai na dekhi gair ki soorat tumhare mangton ne tumhi se maang rahe hain tumhi se paate hain ishaara paate hi abru ka tere ganj e shakar kamaan se nikle hue teer laut aate hain ho khair aapki nisbat ki ya fareeduddin hamaari raah mein aankhe sabhi bichhate hain hamaara kibla o kaaba hai aastaan e fareed wo aur hain jo kahin aur sar jhukaate hain tumhaare pyare wasile se maangne waale dilon ki ...