jo log gardish e dauraan se maat khaate hain

sultan e mulk e aashiqan shah e jahan e dilbari
aye khwaja e paak e pattan sarkar ganj e shakari
tera jalaal e aashiqi tera jamaal e dilbari
khwaja nizamuddin wali makhdoom sabir kaliyari
saajid kahein koi middati saare kahein mushrif hamein
apna to haj e akbari baba ke dar ki haaziri

jo log gardish e dauraan se maat khaate hain
fareeduddin hi unko gale lagaate hain

na dekhi gair ki soorat tumhare mangton ne
gair dekha hai na gairon ki nazar dekhi hai
meri nazron ne faqat teri nazar dekhi hai
maine woh kufr kiya kufr bhi kufr e aazam
teri soorat ke siwa koi agar dekhi hai

na dekhi gair ki soorat tumhare mangton ne
tumhi se maang rahe hain tumhi se paate hain

ishaara paate hi abru ka tere ganj e shakar
kamaan se nikle hue teer laut aate hain

ho khair aapki nisbat ki ya fareeduddin
hamaari raah mein aankhe sabhi bichhate hain

hamaara kibla o kaaba hai aastaan e fareed
wo aur hain jo kahin aur sar jhukaate hain

tumhaare pyare wasile se maangne waale
dilon ki jholi muraadon se bhar ke jaate hain

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha