mushkil taalo shah e ummam kardo aaka nazar e karam

main madine mein jo jaata to wahan kya karta
kuch na karta to faqat roze ko dekha karte

mushkil taalo shah e ummam
kardo aaka nazar e karam

gar tum na karoge
to karam kaun karega

jholi meri tumhare siwa kaun bharega
mushkil taalo shah e ummam

ye maan liya laayik e darbar nahi main
ye bhi na sahi kaabil e deedar nahi main
har chand agar aap ke darkar nahi main
kya banda bhi tera meri sarkar nahi main

har koi hai daaman e ummeed phailaye ue
aastane pe hain muhtaaj e karam aaye hue

karam tumhara aam hai jahaan pe meherbaan ho tum
karam ki bheekh do hamein kareem e bekasan ho tum
mohtaajon ka rakh lo bharam kardo aaka nazar e karam

tumhare dar se ya nabi kahan fakeer jayenge
tumhi se lauh lagayi hai tumhi se bheekh mangenge
mangte hain is dar ke ham kardo aaka nazar e karam

idhar bhi shah e mursalin koi ishaara chaahiye
habib e qibriya hamein karam tumhara chaahiye
kab tak jhelein ranj o gham kardo aaka nazar e karam

jamaal e haqnuma ho tum yeh sab tumhara noor hai
tumhare faiz e khaas ka har ik jagah zahoor hai
ham dukhiyon ke taalo gham kardo aaka nazar e karam

ghire hain mushkilon mein hum bada kathin maqaam hai
hamare lab pe mustafa faqat tumhara naam hai
har mangte ki aankh hain nam kardo aaka nazar e karam

karam tumhara aam hai jahaan pe meherbaan ho tum
karam ki bheekh do hamein kareem e bekasan ho tum
mohtaajon ka rakh lo bharam kardo aaka nazar e karam

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil