kya tha jo ghari bhar ko tum laut ke aa jaate

kya tha jo ghari bhar ko tum laut ke aa jaate
bemaar e muhabbat ko soorat toh dikha jaate

qasid payam e khat ko dena bahut na tool
bas mukhtasir yeh kehna aankhein taras gayin

yun zindagi guzaar raha hoon tere bagair
jaise koi gunah kiye jaa raha hoon main

nazuk tere mareez ka haal hai
din kat chuka hai raat ka katna muhaal hai

aa jaa ke aas tootne waali hai pyar ki
bhujne lagi hai shama tere intezaar ki

itna toh karam karte kuch dard mujhe de kar
tasawwur mein chale aate tumhara kya bigad jaata
tera parda bana rehta mujhe deedar ho jaata

jaati hui dekh ke mayyat dekh ke bhi wallah tum uth ke aa na sake
do chaar kadam to dushman bhi takleef gawara karte hain

dekh jaate mere lut te hue armaanon ko
itna toh karam karte kuch dard mujhe de kar

itna toh karam karte kuch dard mujhe de kar
ik baar mere aansu daaman se sukha jaate

lazzat e intezar leta hoon yun shab e gham guzar leta hoon
jab bhi dasti hai mujhko tanhayi naam tere pukaar leta hoon

phir dard e judayi ko mehsoos na main karta
achcha tha agar mujhko deewana bana jaate

mujh par gham e furqat ki tohmat na kabhi lagti
ankhon mein agar apni tasveer basa jaate 

phir unse 'Fana' mujhko rehta na gila koi
darmaan na mera karte deedar kara jaate 

Comments

  1. Replies
    1. Darmaan na here means that even if you would not have remedied my problems, you could have bestowed your glance.(Deedar kara jaate)

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha