Bekhud kiye dete hain
 Maine masoom baharon mein tumhein dekha hai   Maine purnoor sitaron mein tumhein dekha hai     Mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam   Maine ashqon ki kataron mein tumhein dekha hai     Jod lagte gaye fasane mein   Raaz khulte gaye chhupane mein   Roothne ka sabab to tum jaano   Hum to masroof hain manane mein     Tune tinke samajh ke phoonk diya   Meri duniya thi aashiyane mein     Mujhe shikwa nahi barbaad rakh barbaad rehne de   Magar lillah mere dil mein apni yaad rehne de     Bekhud kiye dete hain andaz hijabana   Aa dil mein tujhe rakh lun ae jalwa e janana     Kya meri baat ka yakin nahin   Koi bhi aap sa hasin nahin   Be jhijhak dil mein tum chale aao   Is makan mein koi makeen nahin     Ae sarwe nazreen man az man che deedayi   Ik baar keh de az man e miskeen mureedayi     Tujhsa hasin nahin nahi teri misaal hai   Tere jamaal ain khuda ka jamaal hai     Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi   Ab rukh ko chhupa baithe kar ke mujhe deewana     Maine ke be amal hun   Lek...