Dil mein ishq e shah e konain

Ya rab dar e khalq takiyagah hum na puned
Mohtaj e gada o badshah hum na puned
Kar deed e karam rooh e siya hum to suped 
Ba hu e suped rooh siya hum na puned

Konain ka masjood hai mabood hai tu
Har shai teri shahid hai ki mashoor hai tu
Har ek ke lab par hai teri hamd o sana
Har souz mein har saaz mein maujood hai tu

Tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
Kya naam ha ae salle allah naam e muhammad
Allah kare uspe haram aatishe do zakh
Jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

Har nafas ishq e muhammad ka payami kar lo
Zindagi mit ke muhammad mein dawami kar lo
Baadshahi hai agar dono jahaan ki darkar
Doston ao muhammad ki ghulami karlo

Dil mein ishq e shah e konain 
Dilbar hai bar mein alham do lillah
Sab kuch hai ghar mein alham do lillah

Dil mein dard e ishq e shah e do jahaan rakhta hoon main
Khaak hoon par ustate shah e konain rakhta hoon main

Dil mein ishq e shah e konain ki daulat hai badi
Hoon to naadar main lekin meri kimat hai badi

Hashar mein garmi e khurshid e qayamat hai badi
Lekin ispe meri sarkar ki rehmat hai badi

Kamli wale sarre mehshar mera parda rakh le
Main bura hoon hai mera amal bura

Dil e muztarib se suno mere malle
Nigah e karam ho mere kamli wale

Hoon siyakar mere aib khule jaate hain
Kamli wale mujhe kamli mein chhupale aaja

Karbala ke bhookhe pyason ka Hai tumko waasta
Ya nabi pyare nawason ka hai tumhe waasta

Main waasta tumhe maula ali ka deta hoon
Mera parda rakh le

Naaz rakhna mere sarkar madine waale
Mera parda rakh le

Main deewana hoon mere pass mehshar mein khade rehna
Na jaane kya kahoon main aur kya pooche khuda mujhse

Kamli waale sarre mehshar mera parda rakh le
Aaj ke din tere mujrim ko nadawat hai badi

Dene waale tere haathon mein to sab kuch hai magar
Khaak e taiba mujhe dede ke ye nemat hai badi

Kuch aur nahi mangta hoon
Bas itni si aarzoo hai

Khaak e taiba mile chahe kuch na mile
Kaali kamli ka tukda kafan ke liye mile

Is badayi par 'munawwar' hai mujhe naaz bada
Main bade dar ka gada hoon meri kismat hai badi

Haath phailane se mohtaj gada ko gairat ye hai
Bade dar ka gada hoon

Manam adna sana khane muhammad
Ghulame ad ghulamane muhammad

Basid ko safa gasht be chara zamin
Ghulama ghulamane aale muhammad

Logon arre logon meri kismat ko saraho
Sarkar mile hain mujhe sarkar mile hain


Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha