Bujhi hui shama ka dhuan hoon

raat yun dil mein teri khoyi hui yaad aayi
jaise veerane mein chupke se bahaar aa jaye

jaise sehraon mein haule se chale baad e naseem
jaise beemaar ko bewajah karaar aa jaaye

kitne badal gaye hain woh halaat ki tarah
jab bhi mile hain pehli mulakaat ki tarah

teri jafa kahun ke inayat kahoon isse
gham bhi mila mujhe kisi saugaat ki tarah

dil mein ghamon ki aag bhadakne lagi to hum
roye hain phoot phoot ke barsaat ki tarah

hum kya kisi ke husn ka sadka utaarte
ik zindagi mili hai wo khairaat ki tarah

bujhi hui shama ka dhuan hoon
aur apne markaz ko ja raha hoon

ke dil ki hasrat mit chuki hai
ab apni hasti mita raha hoon

teri hi surat ke dekhne ko
buton ki tasveeren la raha hoon

ke khoobiyan sabki jama karke
tera tasawwur jama raha hoon

kafan mein khud ko chhupa liya hai
ke tujh ko parde ki ho na zehmat

naqaab apne liye banakar
hijaab tera utha raha hoon

udhar wo ghar se nikal pade hain
idhar mera dam nikal raha hai

ilahi kaisi hai ye qayamat
wo aa rahe hain main ja raha hoon

muhabbat insaan ki hai fitrat
kahaan hai ibkan e tark e ulfat

wo aur bhi yaad aa rahe hain
main unko jitna bhula raha hoon

roz kehta hoon bhool jaun unhein
roz ye baat bhool jata hoon main

nahin aati to unki yaad barson tak nahin aati
lekin jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

zubaan pe labdaik har nafas mein
jabeen pe sajda hai har kadam pe

yun ja raha butkade ko naatik
ke jaise kaabe ko ja raha hoon

Comments

  1. please,if anyone have any idea about the lyricist do share it.thanks.

    ReplyDelete
  2. It is not written by जिगर murdabadi, it is written by iqbal.. Kalam e इकबाल

    ReplyDelete
  3. This beautiful piece of poetry is written by ALI AKBAR NATIQ, Prominent Pakistani poet and fiction writer

    ReplyDelete
  4. The opening lines are by Faiz Ahmed Faiz

    ReplyDelete
  5. The opening lines are by Faiz Ahmed Faiz

    ReplyDelete
  6. The opening lines are by Faiz Ahmed Faiz

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha