Posts

hadd e kunfikan se guzar gaya

fikr e manzil hai na hosh e jada e manzil mujhe jaa raha hoon jis taraf le jaa raha hai dil mujhe kisi se meri manzil ka pata paaya nahi jaata jahaan man hun farishton se wahaan jaaya nahi jaata hadd e kunfikan se guzar gaya hadde lamakaan se guzar gaya teri justju mein khabar nahi main kahaan kahaan se guzar gaya kabhi misl e mauj e hawa e gul kabhi bann ke dood e fughan e dil tere shauk e deed mein baarha tere aastaan se guzar gaya yeh toh apna apna hai hausla yeh to apni apni udaan hai koi ud ke reh gaya baam tak koi kehkashaan se guzar gaya shab e hijr has ke guzaar li gham e ishq dil se laga liya mere jazbe shauk ki daad de main har inteha se guzar gaya wo makaam dair o haram bane wahin sab ki gardanein kham hui wahin sar basajda hui jabeen tu jahaan jahaan se guzar gaya

mera gham aur meri har khushi tum se hai

mera gham aur meri har khushi tum se hai janeman yeh meri zindagi tumse hai aye meri jaan e jaan aye meri meharbaan tumse rangeen hain yeh zameen aasmaan tumse aabaad hai mere dil ka jahaan tu mera chaand ho chaandni tumse hai tu nishaani muhabbat ki manzil ki hai tere dam se haseen anjuman dil ki hai saari raunaq tumhi se yeh mehfil ki hai shamme mehfil ho tum roshni tumse hai faisla hai yahi baat hai yeh atal husn waalon mein tera nahi hai badal geet ka husn ho tum ho jaan e ghazal shayaron ki haseen shayari tumse hai 

teri umeed tera intezaar jab se hai

teri umeed tera intezaar jab se hai na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai kisi ka dard ho karte hain tere naam rakam gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai agar sharar hai to bhar ke jo phool hain to khilein tarah tarah ki talab tere rang e lab se hai hua hai jab se dil e nasaboor bekaabu kalaam tujhse nazar ko bade adab se hai

jaane kab honge kam is duniya ke gham

jaane kab honge kam is duniya ke gham jeene waalon pe sada bejurm o khata hote rahe hain sitam kiya jisne gila mili aur saza kayi baar hua yeh khoon e wafa bas yahi hai sila dilwalon ne diya yahan daar pe dam koi aas nahi ehsaas nahi dariya bhi mila bujhi pyas nahi ik ham hi nahi jise dekho yahaan wohi aankh hai nam

main chiththi paawan sajna nu

dil de kore kagaz utte sajna da sarnaawan kothe chad chad jhaatiyaan maaran raahin osiyan paawan je sohna ghar aawe mere sau sau shagan manaawan jindri vech ziarat apni yaar de naawe laawan main chiththi paawan sajna nu vich lafzan de athru paro ke khair howe sajna di naal mangiyan duawan ro ro ke kayi vaari khat likh likh ghalle likhiyan vich takeedan hun te aaja sohneya sajna tod na yaar umeedan je kar deed ho jaawe teri sanu taan hoyiyaan eidan vikda yaar ziarat labhe main jindri vech khareedan khat jad likhna dilbar taayin nain rowan vich gham de main vi rowan dil vi rowe athru wagna kalam de badal barsan ruk jaanda athru mool na thamde dholan khat ton pehle aaja nahi bharose dam de iskhat andar sohneya sajna tarle hain bathere lafzan ton wadh nazri aawan howan hoke mere oh agg de angeyare bann gaye athru jo main gere ziarat da khat soch ke kholin hath na sadd jaan tere chcheti mod tatti deya saayiyaan aa sajna kithe ral ke bayiye chadiye jh...

na sawaal bann ke mila karo

na sawaal bann ke mila karo na jawaab bann ke mila karo meri zindagi mere khwaab hain mujhe khwaab bann ke mila karo har shaam ko mere doston na azaab bann ke mila karo mujhe maikade mein milo agar to sharaab bann ke mila karo mujhe achhe log bahut mile main toh unke karz se marr gaya arre ho sake to kabhi kabhi toh kharaab bann ke mila karo abhi sochna hai toh soch lo abhi chhorna hai to chhor do naye mausamon mein milo mujhe toh gulaab bann ke mila karo na toh iss tarah se mila karo na to uss tarah se mila karo haan huzoor bann ke mila karo haan janaab bann ke mila karo

piya re piya re piya re piya re

piya re piya re piya re piya re thaare bin laage naahi mhara jiya re naina ne thaari kaisa jaadu kiya re thaare bin laage naahi mhara jiya re thaare bina mohe chain na aawe dhak dhak dhak mhara jee ghabraaye bole basunriya sunn re sanwariya thaare bina mohe kuch nahi bhaawe pyar ki kalliyan kab ki rakhiyaan rahwan tak tak main toh thakkiyaan saanjh sawere dekhan laagein thaari suratiya mhaari ankhiyan ishq ki battiyaan koi na jaane apne bhee laagein begaane mann ki lagi bhee kaisi lagi hai jis tann laage woh bas jaane