jaane kab honge kam is duniya ke gham

jaane kab honge kam is duniya ke gham
jeene waalon pe sada
bejurm o khata hote rahe hain sitam

kiya jisne gila mili aur saza
kayi baar hua yeh khoon e wafa

bas yahi hai sila dilwalon ne diya
yahan daar pe dam

koi aas nahi ehsaas nahi
dariya bhi mila bujhi pyas nahi

ik ham hi nahi jise dekho yahaan
wohi aankh hai nam

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil