Mori bhi rungdo chunariya
Ganj Shakar Mori rungde chunariya
Aisa rung rung do rung nahi chhute dhobiya dhulaye chahe saari umariya
Mori bhi rungdo chunariya baba mai tori puja karungi
Ganj Shakar savariya baba mai tori puja karungi
Tu maharaj mora main dasi tihari
Na chorungi baba main tori diharia
Padi hoon main aake dwar tihare
Muhammad ke Sadke Mori rungdo chunariya
Mangti hoon khali na modo
Mujh paapan ki aas na todo
Dasi ki Lejo khabariya
Baba main tori puja karungi
Aisa joganiya ko madwa pila do
Madwa pilayi ke Mori sud bud gawa do
Chalke na mann ki gagariya
Baba main tori puja karungi
Dhoom machi hai jag mein tihari
Bal bal jaun tore Krishna murari
Phir se bajao basunriya
Baba main tori puja karungi
Na karti hoon binti
Na padti hoon payiyan
Fakar Mori sabir ke sadke main gayiyan
Mujhe apne dwaran ki jogan banakar
Mori laaj rakh more banke savariya
Main duniya ke dukh ki satayi hoon baba
LiYe aas dwaran pe aayi hoon baba
Abhagan hoon baba suhagan banungi
Jo pad jaye ik bar tori najariya
Ganj shakar tum jag ujiyare
Sab dukhiyan ke taaran haare
Mori bhi taaro navariya
Baba main tori puja karungi
Banke batan ke banke sayiyan
Ganj shakar Mori pakro
Kirpa ki kijo najariya
Baba main tori puja karungi
Thanks for the Masterpiece!
ReplyDelete