yun toh pehle bhi hue us se kayi baar juda

yun toh pehle bhi hue us se kayi baar juda
lekin abke nazar aate hain kuch aasaar juda

ye judaayi ki ghadi hai ya ghadi saawan ki
main juda girya kunan abr juda yaar juda

koo e jaana mein bhi khaasa tha tarahdaar 'Faraaz'
lekin is shakhs ki sajj dhajj thi sarre daar juda

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil