woh dil hai jo kisi ke husn ka kashaana ho jaaye

woh dil hai jo kisi ke husn ka kashaana ho jaaye
wo sar hai jo kisi ki teg ka nazraana ho jaaye

ye achchi pardadari hai ye achchi raazdari hai
ke jo aaye tumhari bazm mein deewana ho jaaye

mera sar kat ke maqtal mein gire kaatil ke kadmon par
hamein aakhir ata yun sajda e shukraana ho jaaye

yahaan hona na hona hai na hona ain hona hai
jise hona ho kuch khaak e dar e janaana ho jaaye

wo mai de de jo pehle shibli o mansoor ko di thi
wo phir 'Bedam' nisaar e murshid e maikhaana ho jaaye

Comments

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. Hello. Can you translate this please? I would be very grateful for a translation of this + duniya hai ek dasht gulzar

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil