na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye

na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
jahaan hai tere liye tu nahi jahaan ke liye

ye aql o dil hai sharar shola e muhabbat ke
wo khaar o khas ke liye hai ye neestan ke liye

malaam e parwarish e aah o nala hai ye chaman
na sair e gul ke liye hai na aashiyan ke liye

nigah buland sakhun dil nawaaz jaan pursouz
yehi hai rakht e safar meer e kaarwaan ke liye

mere gulu mein hai ik nagma jibraeel aashob
sambhaal kar jise rakha hai lamakaan ke liye

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha