kabhi ae haqeeqat e muntazar

kabhi ae haqeeqat e muntazar
nazar aa libaas e majaaz mein

ke hazaaron sajde tadap rahe
hain meri jabeen e niyaaz mein

jo main sar ba sajda hua kabhi
toh zameen se aane lagi sadaa

tera dil toh hai sanam aashna
tujhe kya milega namaaz mein

tu bacha bacha ke na rakh isse
tera aaeena hai wo aaeena

ke shikasta ho to azeez kar
hai nigahe aaeena saaz mein

na kaheen jahaan mein awaan mili
jo awaan mili toh kahaan mili

mere jurm e khana kharaab ko
tere afw banda nawaaz mein

na woh ishq mein rahi garmiyan
na woh husn mein rahi shokhiyan

na wo ghaznavi mein tadap rahi
na woh kham hai zulf e ayaz mein

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil