Posts

mere nabi pyare nabi hai martaba aala tera

ya rab ba tufail e rasool us saqlain ya rab batufail e fatahe badr o hunain isiyan e mara do hissa kun dar ara saat neem e ba hassan ba baksh neem e na hussain yeh lutf yeh tumhaara karam bemisaal hai har ik hunahgaar ka tumko khayaal hai ho mere haal pe bhi nigah e karam nawaaz sarkra ik nigah e karam ka sawaal hai rabb ne farmaya meri qudrat ki hadd koi nahi aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi jab malak samjhe nahi to aadmi samjhega kya aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi bazahir kibriya tujhse juda hai magar tujhse zahoor e kibriya hai teri azmat ka andaaza ho kisko khuda hai aur khuda ke baad tu hai mere nabi pyare nabi hai martaba aala tera jis jaan koi pahuncha nahi dekha wahan jalwa tera khairaat deta hai khuda har waqt tere naam ki jisko mila jo kuch mila jitna mila sadka tera rehmat thi poore josh par main bhi na tha kuch bekhabar tujhse tujh hi ko maang kar acha raha mangta tera sarkash jo the maayil hue...

kadi roza rabb dikhlave kamli wale da

kadi roza rabb dikhlave kamli wale da nitt yaad madina aave kamli wale da deed di khaatir ankhiyan tarsan waang phuhaaran chham chham barsan har vele hijr sataawe kamli wale da door hijr di howe doori vekhan jaake jaali noori dil har dam vird pakaawe kamli wale da

hanju ankhiyan de vehre vich paunde ne dhamaalan

hoye dahde dilgeer khichi yaadan ne lakeer sanu chann maahi ghereya e tereyan khayalaan hanju ankhiyan de vehre vich paunde ne dhamaalan seene naal laake teri yaad de khidaune nu aunde jaande saahn mere aap vich khende ne lagde na aakhe mere athru nadaan ne ankhan di dehleej utte tik ke na behnde ne mere athru tapp nahi sakde kadi dehleej e ankhiyan di teri yaad da kam e jehdi buheyon bahar vi lai gayi e main dol ke kaase ankhiyan de nit daag jigar de dhaundiyan jadon chann te taare hasde ne main kalleyan beh ke raundiyan tera nitt da vichora mere dil nu sataunda door jaa ke bhul gayon sanu diljaaniya vain payiyaan paundiyan ne sadran nimaaniyan keeta ki kasoor tera das ja ve dholna apna bana ke inj chahida nahi rolna luk gayon kithe rog pyar wala laake umaran da rauna saddi jholi vich paake tera nitt da vichora mere dil nu sataunda tere bajon mere dil nu karaar nahiyo aunda hoyon jadon da tu vakh meri lagdi na ankh laake seene naal...

zulfon ko saawan ki raaton ka badal kehne lage

zulfon ko saawan ki raaton ka badal kehne lage teri aankhein dekhne waale ghazal kehne lage aap aaye meharbaani aapki nisbat se ham apne veerane ko khushiyon ka mahal kehne lage jab hamein milne wo aaye chaandni ki jheel mein chaand taare unke aariz ko kanwal kehne lage 

yun toh pehle bhi hue us se kayi baar juda

yun toh pehle bhi hue us se kayi baar juda lekin abke nazar aate hain kuch aasaar juda ye judaayi ki ghadi hai ya ghadi saawan ki main juda girya kunan abr juda yaar juda koo e jaana mein bhi khaasa tha tarahdaar 'Faraaz' lekin is shakhs ki sajj dhajj thi sarre daar juda

mujhpe bhi chashme karam

mujhpe bhi chashme karam aye mere aaqa karna haq to mera bhi hai rehmat ka takaaza karna main je zarra hoon mujhe busate sehra de de ke tere bas mein hai qatre ko bhi dariya karna main hoon bekas tera shewa hai sahaara dena main hoon bimaar tera kaam hai achha karna tu kisi ko bhi uthaata nahi apne dar se ke teri shaan ke shaayan nahi aisa karna tere sadke wo ussi rang mein khud hi dooba jisne jis rang mein chaaha mujhe ruswa karna yeh tera kaam hai aye aamina ke durre yatim saari ummat ki shafa-at tanne tanha karna aur un sahaaba ki khushatwaar nigahon ko salaam jinka maslaq tha tawaaf e rukh e zeba karna mujhpe mehshar mein 'Naseer' unki nazar pad hi gayi Kahne wale ise kahte h khuda ka karna

main nazar se pee raha hun

nazar se nazar ab milaayi gayi hai main peeta nahi tha pilaayi gayi hai main nazar se pee raha hun yeh sama badal na jaaye teri nazron se pee hai khuda ki kasam umar saari nashe mein guzar jaayegi peene ki aarzoo na pilaane ki aarzoo hai tumse faqat nigah milaane ki aarzoo hai meri badanoshi ke waaste koikais e jaam o subu nahi mujhe kaif rehta hai har ghadi yeh teri nigah ki baat hai wo nazar uthi toh maikhaane bane mera dil toota toh paimaane bane mudaaton se aarzoo thi hosh ki hosh aaya toh deewane bane tere karam ka bhala kya shumaar hai saaki jise bhi dekha wohi mehve khumaar hai saaki wo badanosh hoon mauka hayat kya jiski teri nazar pe hi daromdaar hai saaki wo kaun hai jo tere maikade se bach nikla teri nazar ka toh aalam shikar hai saaki na jhukaao tum nigahein kahin raat dhal na jaaye jhuki jhuki si nigahon ne zulf e barham ne wo baat khol ki rakh di jo thi chhupaane ki yeh udi udi si rangat yeh khule khule se gesu teri subah keh rahi hai ...