Mangte hain karam unka

Meri chashme alam namnaak karde
Mujhe aalaishon se pak karde

Mujhe kuch bhi nahin darkar ya rab
Ghulam e sayyed e laulak karde

Hum hain durvesh na jagir nazar rakhte hain taaj rakhte 
Na lalo gauhar rakhte hain
Sainkdo aib sahi ek hunar rakhte hain
Bekhabar lakh sahi Teri khabar rakhte hain

Tazeem se leta hai khuda naam e Muhammad 
Kya naam hai e salle allah naam e Muhammad
Allah kare uspe haraam atishe do zakh
Jis shakhs ke ho dil pe Likha naam e muhammad

Rab be farmaya meri kudrat ki hadd koi nahi
Aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi

Jab malak samjhe nahi to aadmi samjhega kya
Aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi

Mangte khali haath na laute
Kitni mili khairat na poocho
Unka karam Phir unka karam hai
Unke karam ki baat na poocho

Mangte hain, karam unka sada mang rahe hain
Din raat madine ki dua mang rahe hain

Husn ko jinke jagmat walon
Naam hain jinka kamli wala
Unke mangte hain

Samajh ye rakhte hain
Mehshar mein muh dikhane ki bas
Unke mangte hain

Naaz jis baat ka hai
Wo baat yahi hai 
Ki hum unke mangte hain

Hum hain gulaam
unki gulaami pe naaz hai
Pehchaane hai ye jahan
Jis naam o nishan se hum
Unke mangte hain

Nigah e garm se na dekh humko e do zakh
Kya pata nahi ki hum kiske mangte hain

Do zakh ne humko dekh kar
Maalik se yun kaha
Ae malik chchod 
Unke mangte hain

Mangte hain karam unka sada mang rahe hain
Din raat madine ki dua mang rahe hain

Saari daulat khuda ki madine mein hai
taajdar e zamana madine mein hai

Jinke khatir banaye gaye do jahan
Wo rasool e yagana madine mein hai

Tujhko waiz Mubarak haram ki faza
Main mukhalif nahin hun tere zauk ka

Ab yahan mera sajda ho kaise Ada
Yaar ka aastana madine mein hai

Aftaab e do aalam madine mein hai
Aamina ka dulara madine mein hai

Husn poore ka poora madine mein hai
Ishq saare ka saara madine mein hai

Kam mang rahe hai na siwa mang rahe hain
Jaise hai gani waise ata mang rahe hain

Khud bheekh de Au
Khud bole mangton ka bhala ho
Wo to Aisa hai gani

Zamane ka daata 
Magar ghar mein faaka
Khudai ka maalik
Magar pet khali
Wo to aisa hai gani

Zara unka duniya mein rehna to dekho
Wo patthar ka takiya Aur kali kamliya
Wo to Aisa hai gani

Koi mere mehboob sa duniya mein nahin hai
Baitha hai chatai par magar arsh nasheen hai
Wo to aisa hai gani

Yun kho gaye sarkar ke altaafo karam mein
Ye bhi to nahi hosh ki kya mang rahe hain

Har naimat e quonain hai daman main hamare
Hum sadka e mehboob e khuda mang rahe hain

Sarkar ka sadka meri sarkar ka sadka
Ye zameen ye aasman 
Ye makan la makan sab
Meri sarkar ka sadka

Dono jahan ka noor
Muhammad ke roop mein
Quran ka shaoor Muhammad ke roop mein
Allah ka zahoor Muhammad ke roop mein

Sach hai ye taghayyur e duniya khuda se hai
Magar ye qaynat fakat mustafa se hai

Kalam e pak ki azmat mere huzur se hai
Khuda e pak ki shohrat mere huzur se hai

Wo chahe Husn ho yusuf ka
Chahe ishqe bilaal
Mili sabhi ko ye azmat mere huzur se hai

Chamaninatan ka gosha gosha
Kaliyon ki chatak phoolon ki Mehak
Akash se lekar dharti tak
Zarron ki dhamak taaron ki chamak
Shabnam ka ye moti batsana
Shakhon le lachak chidiyon ki chatak
Saaki ki nigah e mastana
Sheeshe ki thanak sagar ki chchalak
Har shai  ba khushi hai nagma sara
Sarkar e do alam ka sadka
Us do jag ke matwale ka ye faiz hai kamli wale ka

Sarkar ka sadka meri sarkar ka sadka
Mohtaj o gani shah o gada mang rahe hain

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha