Mast nazron se Allah bachaye
Umar jalwon mein basar ho ye zaroori to nahi
Har shab-e-gham ki sehar ho ye zaroori to nahi
Neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
Unki aagosh mein sir ho ye zaroori to nahi
Aag ko khel patangon ne samajh rakha hai
Sabko anjaam ka darr ho ye zaroori to nahi
Sheikh karta hai Jo masjid mein khuda ko sajde
Iske sajdon mein asar ho ye zaroori to nahi
Sabki saaki pe nazar ho ye zaroori hai magar
Sabpe saaki ki nazar ho ye zaroori to nahi
Koi hasse to tujhe gham lage hassi na lage
Ki dillagi bhi tere dil ko dillagi na lage
Tu roz roya Kare uth ke Chand raaton mein
khuda Kare ke Tera mere bagair ji na lage
Koi dil mein liye armaan chala jaata hai
Koi khoye hue ausaan chala jaata hai
Husn waalon se ye keh do ke na nikle baahar
Dekhne waalon ka iman chala jata hai
Mast nazron se Allah bachaye
Mahjamalon se Allah bachaye
Har Bala sar pe aa jaye lekin
Husn walon se Allah bachaye
Inki maasomiyat par na Jana
Inke dhokhe mein hargiz na aana
Loot lete hain ye muskurakar
Inki chaalon se Allah bachaye
Ye loot lete hain, ye loot lete hain
Jalakh rukhi dikhakar muskurakar loot lete hain
Nigahon se nigahon ko milakar loot lete hain
Ye achchi parda dari hai ye achchi dil nawazi hai
Hasa kar loot lete hain rula kar loot lete hain
Amir is raste se Jo guzarte hain wo kehte hain
Muhalla hai hassinon ka bekazakhon ki basti hai
Husn wale wafa nahi karte
Ishq wale daga nahi karte
Zulm karna to inki aadat hai
Ye kisi ka bhala nahi karte
Loot lete hain ye muskurakar
Inki chaalon se Allah bachaye
Bholi Surat hai baatein hai Bholi
Muh mein kuchch hai magar dil mein kuchch hai
Lakh chehra sahi Chand jaisa
Dil ke kaalon se Allah bachaye
Dil mein hai kwahish e hoor o jannat
Aur zahir mein shaunk e ibadat
Bas Hamein sheikh ji aap jaise
Allah walon se Allah bachaye
Comments
Post a Comment