Sochta hoon ki wo kitne .

Jaane wale Hamari mehfil se
Chand taron ko saath leta ja

Hum khizaon se nibah kar lenge
Tu baharon ko saath leta ja

Achchi soorat ko sawarne ki zaroorat kya hai
Saadgi mein bhi kayamat ki Ada hoti hai

Tum Jo aa jaate ho masjid mein Ada Karne namaaz
Tumko maaloom hai kitnon ki kaza hoti hai

Koi hasse to tujhe gham lage
Khushi na lage
Ki dillagi bhi tere dil ko 
Dillagi na lage

Tu roz roya kare uth ke Chand raton mein
Khuda Kare Tera mere bagair ji na lage

Tanhai mein faryaad to kar sakta hoon
Veerane ko aabad to kar sakta hoon

Jab cha hoon tumhein mil nahi sakta Lekin
Jab chahoon tumhein yaad to kar sakta hoon

Koi bhi waqt ho has kar guzar leta hoon
Khizan ke daur mein ehde bahar leta hoon

Gulon se rang sitaron se roshni lekar 
Jamaal e yaar ka naksha utar leta hoon

Uske nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmayin aise hai wo jaise hua kuch bhi nahi

Ab to hathon se lakeeren bhi miti jaati hain
Usko khokar to mere pass raha kuch bhi nahi

Kal bicharna hai to phir ehde wafa soch ke bandh
Abhi aagaz e mohabbat hai gaya kuch bhi nahi

Main to is waaste chup hoon ki tamasha na bane
Tu samajhta hai mujhe tujhse gila kuch bhi nahi

Sochta hoon ke woh kitne masoom the 
Kya se kya ho gaye dekhte dekhte

Maine patthar se jinko banaya sanam
Wo khuda ho gaye dekhte dekhte 

Jin pattharon ko humne ata ki thi dhadkane
Wo bolne lage to humhi pe baras pare 

Mere hathon se tarashe hue patthar ke sanam
Mere samne hi bhagwan bane baithe hain

Hashar hai wahshat e dil ki awargi
Humse poocho mohabbat ki deewangi

Jo pata poochte the kisi ka bhi
Lapata ho gaye dekhte dekhte

Humse ye soch kar koi wada karo
Ek waade pe umrein guzar jayeng

Ye hai duniya yahan kitne ehle wafa
Bewafa ho gaye dekhte dekhte 

Din chup gaya suraj ka kahin naam nahin hai
O wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai

O wada shikan...
Shab e wada ye raha karti hain batein dil se
Dekhein yaar aata hai pehle ki kaza aati hai

Kal se bekal hoon main bhala khaak mujhe kal aaye
Kal ka waada tha na wo aaj aaye na wo kal aaye

Roz ka intezaar kaun kare
Aap ka aitbaar kaun Kare

Ho chuka wada ki kab aayiyega
Dekhiye ab na bhool jayiyega

Bhala koi wada khilafi bhi hadd hai
Hisab apne dil mein laga kar to socho

Kayamat ka din aa gaya rafta rafta
Mulakat ka din badalte badalte

Humse ye Soch kar koi wada karo
Ek waade pe umrein guzar jayengi

Ye hai duniya yahan kitne aehle wafa
Bewafa ho gaye dekhte dekhte

Gair ki baat tasleem kya kijiye
Ab to khud par bhi humko bharosa nahi

Apna saaya samajhte the jinko kabhi
Wo juda ho gaye dekhte dekhte


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha