Tumhein dillagi bhool jaani paregi

Tumhein dillagi bhool jaani paregi
Mohabbat ki raahon mein aa kar to dekho

Tarapne pe mere na Phir tum hasoge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho

Hoton ke pass aye hassi kya majal hai
Dil ka mamla hai koi dillagi nahi

Zakhm pe zakhm kha ke ji
Apne lahu ke ghoont pi

Aah na kar labon ko si
Ishq hai dillagi nahin

Dil lagakar pata chalega tumhein
Aashiqui dillagi nahin hoti

Kuch khel nahin hai ishq ki laag
Pani na samajhiye aag hai aag

Khun rulayegi ye lagi dil ki
Khel samjho na dillagi dil ki

Ye ishq nahin aasan bas itna Samajh lije
Ik aag ka dariya hai Aur doob ke jaana hai

Tumhein dillagi bhool jaani paregi
Mohabbat ki raahon mein aakar to dekho

Tarapne pe mere na Phir tum hasoge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho

Wafaon ki humse tawakko nahi hai
Magar ek baar aazma kar to dekho 

Zamane ko apna bana kar to dekha
Humein bhi tum apna bana kar to dekho 

Khuda ke liye chhod do ab ye parda 
Rukh se naqab utha ke bari der ho gayi 
Mahaul ko tarawat e Quran kiye hue

Hum na samjhe teri nazron ka takaza kya hai
Kabhi parda kabhi jalwa ye tamasha kya hai

Jaane jaan humse ye uljhan
Nahi dekhi jaati

Khuda ke liye chhod do ab ye parda
Ke hain aaj hum tum nahin gair koi

Shab e wasl bhi hai hijaab is kadar kyon
Zara rukh se aanchal hata kar to dekho

Jafayein Bahut ki Bahut zulm dhaye
Kabhi ik nigahe karam is taraf bhi

Hamesha hue dekh kar mujhko barham
Kisi din zara muskurakar to dekho

Jo ulfat mein har ik sitam hai gawara
Ye sab kuchh hai pa se wafa tumse warna

Satate ho din raat jis kadar mujhko 
Kisi gair ko yun sata kar to dekho

Agar Che kisi baat par wo khafa hain
To achcha yahi hai tum apni si kar lo

Wo mane na mane ye marzi hai unki
Magar unko purnam mana kar to dekho



Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha