Dard rukta nahin ek pal bhi

dard rukta nahin ek pal bhi
ishq ki ye saza mil rahi hai

maut se pehle hi marr  gaye ham
chot nazaron ki aisi lagi hai

unse aisi lagi hai
meri ro ro ke kat ti hai rain piya

saawan ki kaali raaton mein
jab boonda baandi hoti hai
jag sukh ki neend mein sota hai
aur birha maari roti hai

meri ro ro ke kat ti hai rain piya
jab se laage un sang nain piya

laagi naahi choote rama
chahe jiya jaye

patthar ko bhi kaato to woh kat sakta hai
kaate nahin kat ti shab e furkat meri

aankh jab se lagi meri unki
zindagi ho gayi meri unki

ab to unse lagi hai
meri inse lagi hai
wohi jo baithe hain mehfil mein sar jhukaye hue
saiyyan gaye kotwal ab darr kahe ka

balma ke dware dhadhi pukarun
Ahmed humro chhaila ho
bal bal jaun banke sakhi ri
hai dar jinke birna ho
jaa ke lalna Hasnain pyare
sees pe jinka saaya ho
beti jaa ki Fatima zehra
sadke unke jiyra ho
aisa piya ki ungli pakad kar
le chal re bajaria ho
poochhan laage nagar ke lukwa
ye ka laago tumra ho
laaj ki maari keh na sakun main
i lago more saiyyan ho

keh do to ab mohe darr kahe ka
preet kari ka main chori kari re

bewafa itna ehsaan karde
kam se kam ishq ki laaj rakh le
do kadam chal ke kandha to de de
tere aashiq ki mayyat uthi hai

do kadam chal ke kandha to de de
rasme duniya bhi hai mauka bhi hai dastoor bhi hai

marne waale to apni jaan se gaye
aapki bewafayiyaan na gayin

imaur kadam toot chuka
uth chuki mayyat ab to
do kadam chal ke kandha to de de

raat kat ti hai gin gin ke taare
neend aati nahin ek pal bhi
ankh lagti nahin ab hamari
ankh us but se aisi lagi hai

taaron ka gosh maur mein aana muhaul hai
lekin kisi ko neend na aaye to kya kaein

tumhare waade ki aisi kati hai bhari raat
ke intezaar mein taare ginein hain saari raat

sitaron meri raaton ke saharon
muhabbat ki chamakti yaadgaron
najane mujhko neend aaye na aaye
tum hi aaram karlo beqararon

kisi ki shab e wasl sote kate hai
kisi ki shab e hijr rote kate hai
ilahi ye hamari shab kaisi shab hai
na sote kate hai na rote kate hai

is qadar mere dil ko nichoda
ek qatra lahu ka na choda
jagmagati hai jo unki khalwat
wo mere khoon ki roshni hai

ladkhadata hua jab bhi naazan
unki rangeen mehfil mein pahuncha
dekhkar mujhko logon se bole
ye wohi bewafa aadmi hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha