Arsh e azam ka dulha badi cheez hai

Muhammad nakhuda hain jab
unhein kahiye to kya kahiye
do aalam ke nigahban
aur fakhr e ambiyah kahiye

azmat e shah e wala badi cheez hai
arsh e azam ka dulha badi cheez hai

jalte hain jibraeel ke par jis makaam par
uski haqikaton se shanasa wohi to hai

Ibn e Yakub ko Allah ne soorat bakhshi
har nabi ko izzat koi azmat bakhshi
aur isaa ko masihai ki daulat bakhshi
mere data ko beparda ziarat bakhshi

yun to saare nabi mohtaram hai lekin
arsh e azam ka dulha badi cheez hai

yun to isaa bhi hai musa bhi hai lekin
arsh e azam ka dulha badi cheez hai

ae farishton wo sultan e mehraj hain
tum jo dekhoge hairan ho jaoge
zulf tab seer e wallail ban jayegi
chehra saara Quran nazar aayega

alam usse sajda karein
arsh e bareen dar par jhuke
shah e arab mehboob e rabb
kis shaan ka mehman hai

rabar e deen o duniya badi cheez hai
shaan e sarkar e badha badi cheez hai

dono aalam ka aaka badi cheez hai
aaka Muhammad kamli wala

imam ul mursareen kahiye
ke mehboob e khuda kahiye
gunahgaron ki khaatir
shahfa e roz e jaza kahiye
khuda ne khud pukara hai
imam ul mursareen kehkar
zubaan par naam jab aaye to
phir salle allah kahiye

darood unpar salaam unpar
na bukwat khatam hai unpar
unhein shahs ud duha kahiye
unhein badr ud dujah kahiye

Muhammad Mustafa ko
zaat e haq ka aaina kahiye
unhi ko ibtida kahiye
unhi ko inteha kahiye

wo har tareef se afzal
wo har tauseef se wallah
shah e har do sarah kahiye
ya mehboob e khuda kahiye

shams ud duha badr ud dujah
noor ul hudah khair ul warah
 wo azmat e insaan hai
wo zeenat e Quran hai

izzat o jaho sarwad koi shai nahi
saare aalam ki daulat koi shai nahi
taaj o takht o hakumat koi shai nahi
raaj waalon ki nehmat koi shai nahi
kamli waale ka sadka badi cheez hai

mat dehr ke sagaan e kaminah se bheekh maang
har waqt taajdare madina se bheekh maang

chand taaron mein ye shaan o shaukat kahaan
gumcha o gul mein aisi haqeekat kahaan
laal o gauhar ki ye qadr o keemat kahaan
meri lauhe jabeen ki ye kismat kahaan
unki khaak e kafetan badi cheez hai

mere daawar mujhe aur kya chahiye
isse badh kar mujhe aur kya chahiye
ae munnabar mujhe aur kya chahiye
roz e mehshar mujhe aur kya chahiye
Mustafa ka sahara badi cheez hai

bebason ko bhala aur kya chahiye
aastan e habib e khuda chahiye
ik jabeen e aqeedat ko kya chahiye
nakshepa e habib e khuda chahiye
ik gunahgar ko aur kya chahiye
shah e qonain ka aasra chahiye

kashti ki baat hai na kinaare ki baat hai
baduha ke nakhuda ke sahare ki baat hai
humse gunahgaron ko bakhshish ba roz e hashar
aaka ke ek adna ishare ki baat hai

mere haal pe kisi ka ye karam nahi to kya hai
jahan nao dagmagayi wahin aa gaya kinara
mujhe aap se hai nisbat do jahan e rang o boo mein
mujhe kya garaz ke main dhoondhon kisi gair ka sahara

ae sahib e kashti  fikr na kar
sarkar madad ko aayenge
tufaanon ka rukh badal jaata hai
jab unki inayat hoti hai

ae roz e mehshar mujhe aur kya chahiye
Mustafa ka sahara badi cheez hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha