Tu rehnawarde shauk hai

Khudi ki khalwaton mein Mustafayi
Khudi ki jalwaton mein kibriyayi
Zameen o aasman o arsh o kursi
Khud ki zad mein hai saari khudayi

Tera jauhar hai noori paak hai tu
Farogh e deeda e aflaak hai tu
Tere said e zaboon afrishta o hoor
Ke shaheen e shah e laulaak hai tu

Tu rehnawarde shauk hai manzil na kar qabool
Laila bhi humnasheen ho to mehmil na kar qabool

Subah azal ye mujhse kaha Jibraeel ne
Na tu zameen ke liye hai na aasman ke liye
Jahaan hai tere liye tu nahin jahaan ke liye

Khiradmandon se kya poochun meri ibtida kya hai
Ke main is fikr mein rehta hoon meri inteha kya hai

Agar wo hota mazroom e firangi is zamane mein
To 'Iqbal' usse samjhata maqam e qibriya kya hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche bata teri raza kya hai

Zindagani hai sadaf qatra e nesan hai khudi
Wo sadaf kya ke jo qatre to gauhar kar na sake

Ho agar khudnigar o khudgaro khudgir khudi
Ye bhi mumkin hai ki tu maut se bhi marr na sake

Ye hikmat e malekooti ye ilme lahooti
Haram ke dard ka darmaan nahin to kuch bhi nahin

Ye ziqr e neem shabi ye muraqbe ye suroor
Khudi ke nigahban nahin to kuch bhi nahin

Khirad ne keh bhi diya laillah to kya haasil
Dil o nigah musalmaan nahin to kuch bhi nahin

Khudi wo behr hai jiska koi kinaara nahin
Tu aabju isse samjha agar to chara nahi 

Tere maqam ko anjum shanaz kya jaane
Ke khaak e zinda hai tu taaba e sitara nahin

Khudi ka sirre nihan la ilaah ilallah
Na takht o taaj mein hai na lashkar e sipah mein hai
Jo baat qalandar ki baargah mein hai

Bayan mein nukta e tauheed aa to sakta hai
Tere dimaag mein butkhana ho to kya kahiye

Sanam kada hai jahaan aur mard e haq hai khaleel
Ye nukta wo hai ki toshida lailah mein hai

Nigah e fakhr mein shaan e sikandri kya hai
Khiraaj ki jo gada ho wo qaisari kya hai

Buton se tujhko ummeedein khuda se naummeedi
Mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai

Baatil dui pasand hai haq la shareek hai
Shirqat mayane haq o baatil na kar qabool

Gaafil na ho khudi se kar apni paasbani
Shayad kisi haram ka tu bhi hai aastana

Teri nigah se dil seenon mein kampte the
Khoya gaya hai tera jazbe qalandarana

Aye lailah ke waris baaki nahin hai tujhmein
Guftar e dilbarana qirdar e qaherana

Teri nigah se dil seenon mein kampte the
Tera gaya hai tera jazbe qalandarana

Ye bandagi gadayi wo bandagi khudayi
Ya banda e khuda ban ya banda e zamaana

Aktaar ho rumi ho raazi ho nijazi ho
Kuch haath nahin aata be aahe chaargahi

Phir chirag e laala se raushan hue koho daman
Mujhke phir nagmon pe yuksane laga murg e chaman

Apne mann mein doob kar paaja surag e zindagi
Tu agar mera nahin banta na ban apna to ban

Mann ki duniya mann ki duniya souz o masti jazb o shouk
Tann ki duniya tann ki duniya sood o sauda makr o fann

Mann ki daulat haath aati hai to phir jaati nahin
Tann ki daulat chhaon hai aata hai dhan jaata hai dhan

Mann ki duniya mein na paaya maine afrangi ka raaj
Mann ki duniya mein na dekhe maine shaikh o barhman 

Paani paani kar gayi mujhko qalaNdar ki ye baat
Tu jhuka jab gair ke aage na mann tera na tann

Fakhr hai meeron ka meer fakhr hai shahon ka shah
Ashhad o allah e lah ashhad o allah e lah

Har shai musafir har cheez raahi
Kya chaand taare kya murg o maahi

Kuch qadr tune jaani na apni
Ye besawadi ye kam nigahi

Tu mard e maidaan tu meer e lashkar
Noori hazoori tere sipahi

Duniya o dun ki kab tak ghulami
Ya rahabi kar ya baadshahi

Aye peer e haram rasm o rahe khanqahi chhor
Maqsood samajh meri nawaye sehree ka

Bahr na sar hai tu azame buland paida kar
Yahaan faqat shaheen ke waaste hai qulah

Gala to ghont diya ahle madirsa ne tera
Kahaan se aaye sada lailah ilallah

Khudi ka sirre nihan la ilah ilallah
Khudi hai teri fasan la ilah ilallah

Ye nagma fasl e gul o laala ka nahin paaband
Bahaar hoke khizan la ilah ilallah

Agar che but hai jamaat e aastino ne
Mujhe hai hukm e azan la ilah ilallah

Subah azal ye mujhse kaha jibraeel ne
Jo aql ka gulaam ho wo dil na kar qabool 

Aye joo e aab barh ke ho darya tund o taiz
Saahil tujhe ata ho to saahil na kar qabool

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha