kisi ka naam lo benaam afsaane bahut se hain

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai
maine purnoor sitaaron mien tumhein dekha hai

mere mehbob teri parda nasheeni ki kasam
maine ashqon ki kataaron mein tumhein dekha hai

pas rehta hai door rehta hai koi dil mein zaroor rehta hai
jabse dekha hai unki aankhon ko halka halka suroor rehta hai

ab woh rehte hain iss tarah dil mein
jaise zulmat mein noor rehta hai

kisi ka naam lo benaam afsaane bahut se hain
najaane kisko tum kehte ho deewane bahut se hain

jafaon ke gile tumse khuda jaane bahut se hain
magar mehshar ka din hai apne begaane bahut se hain

 bas ab so jao neend ankhon mein hai kal phir sunayenge
zara si reh gayi hai raat afsaane bahut se hain

likhi hai khaak udani hi agar apne muqaddar mein
tere kooche pe kya maukoof veerane bahut se hain

tumhein kisne bulaaya mehkashon se ye na keh saaki
tabiyat mil rahi hai warna maikhaane bahut se hain

banaaye tere hi hain ajnabi nadaariyan mujhko
teri mehfil mein warna jaane pehchaane bahut se hain

'Qamar' allah saath imaan ke manzil pe pahuncha de
haram ki raah mein jhukte hain butkhaane bahut se hain


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil