dil pe chot lagti hai unke muskurane se

dil pe chot lagti hai unke muskurane se
ho sake toh aa jaao ab kisi bahaane se

saagir hai mai hai abr hai baade bahaar hai
aye dost ab toh sirf tera intezaar hai

har lamha zindagi ka mujhe nagawaar hai
aa jaao zindagi ka kahan aitbaar hai

sama suhaana hai sawaan barasta hai mee suhaana hai
ho sake to aa jaao

dil ke aangan ke udasi ko mitane
ho sake to aa jaao

saawqan aaya baadal chchaaye gulgul chehki phool khile
aane waale sab aa pahunche saajan tum kab aaoge

nabzein jawaab degayi  tod raha hai dam koi
apne mareez e hijr se ab toh na beniyaz ho

yun zindagi guzaar raha hoon tere bagair
jaise koi gunah kiye jaa raha hoon main

tadap uthti hai dil mein chashm se chashme ubalte hain
khuda shaahid shab e furqat mein jo naale nikalte hain

tum toh ab uthao na apne aastaane se
tere paas aaye hain rooth kar zamaane se

aaj apne gulshan ka rang hi niraala hai
ud chuka hai phoolon ka rang unke jaane se

unko bhool jaane ka dil kahan se laaun main
main jitna bhoolta hoon us qadar yaad aate hain
hai kitna ikhteyar unko hai kitni bebasi apni

na kar mujhe sharmasaar na seh
main dil se majboor hoon ke jiska
yun to kono makaan pe kaabu
magar muhabbat pe bas nahi hai

muhabbat insaan ki hai fitrat
kahaan hai imkaan e tarq e ulfat
wo aur bhi yaad aa rahe hain
main unko jitna bhula raha hoon

unko bhool jaane ka dil kahan se laaun main
aag yeh bhadakti hai aur bhi bujhaane se

aye 'Qamar' kisi ko bhi haal e dil na batlaao
zakhm aur badhta hai dekhne dikhaane se

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil