kehte ho mujhse ishq ka afsaana chaahiye

raazdaaron se bach ke chalta hoon
ghamgusaaron se bach ke chalta hoon
mujhko dhokha diya sahaaron ne
ab sahaaron se bach ke chalta hoon

shiraza e hayat pareeshan ho gaya
ye marhala bhi khair se aasaan ho gaya
mere sukoon e dil ko toh hona hi tha tabah
unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya

muhabbat ki koi manzil nahi hai
muhabbat mauj hai saahil nahi hai
meri afsurdagi pe hasne wale
tere pehlu mein shayad dil nahi hai

kehte ho mujhse ishq ka afsaana chaahiye
ruswayi hogi aapko sharmaana chaahiye

khuddaar itni fitrat e rindaana chaahiye
saaki ye khud kahe koi paimaana chaahiye

matti kharab karte ho kyun bemaar e hijr ki
jo tumpe mar gaya usse dafnaana chaahiye

ankhon mein dum ruka hai kisi ke liye zaroor
gow haathon ko jumbish nahi ankhon mein toh dam hai
rehne do abhi sagar o meena mere aage

kehna sitam kop choda lillah na ab satao
ankhein taras gayin hain aa jao ab aa bhi jaao

khuda ke liye ab toh aa jao warna
ankhon mein dum ruka hai

lab toh jawaab de gaye tod raha hai dam koi
ankhon mein dum ruka hai

apne mareez e hijr se ab toh na beniyaz ho
ankhon mein dum ruka hai

kasid payaam e khat ko dena bahut na tool
bas mukhtasar yeh kehna ke aa jaao

ab aaoge jab aaoge
khuda ke liye aa jao

maah basant mein panchmi aayi
sakhiyan karat sab haar singaaro
kisko re chuda basanti pehnu
ghar naahi more shaam pyaaro

sakhiyon sau diwari diya sau diwari nagar sab jagmag
maine nagar mein diya hi nahi baro main kehti kab aaoge

aate aate lab pe aahein thak gayin
aa bhi jaao ab nigahein thak gayin

kab aaoge jab aaoge tab aaoge
kya bann ke qayamat ka sabab aaoge

chchayi hai ghata aur barasti hai sharaab
tum ab bhi nahi aaoge toh kab aaoge

ankhon mein dum ruka hai kisi ke liye zaroor
warna mareez e hijr ko mar jaana chaahiye

wada andheri raat mein aane ka tha 'Qamar'
ab chaand chchup gaya unhein aa jaana chaahiye

Comments

  1. I have realized there is a correction. "do haath ko jum bach nahi ankhon mein toh dam hai"
    it is actually gov haath ko JUMBISH nahi.... jumbish means movement.

    ReplyDelete
  2. Marhaba nahi marhala hona chahiye.
    Marhala = masla, problem.

    Ye marhala bhi khair se aasaan ho gaya.

    ReplyDelete
  3. Who wrote this qawwali (poetry)?

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil