din chchup gaya sooraj ka kahin naam nahi hai

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai
in haseen rahguzaaron mein tumhein dekha hai
mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam
maine ashqon ki kataaron mein tumhein dekha hai

dil ko kaise bata tasalli dun sabr isko agar nahi aata
chashme purnam ko kaise samjhaaun isko jab tu nazar nahi aata

tanhayi mein fariyad to kar sakta hoon
veerane ko aabad to kar sakta hoon
jab chaahun tumhein mil nahi sakta lekin
jab chaahun tumhein yaad to kar sakta hoon

na aate humein isme takraar kya thi
magar waada karte hue aur kya thi
tumhare payaamin e sabraaz khole
khata ismein bande ki sarkaar kya thi

din chchup gaya sooraj ka kahin naam nahi hai
o wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai

dil tumko jaanta hai bewafa par pyar karta hai
o wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai

aate aate lab pe aahein thak gayin
aa bhi jaao ab nigahein thak gayin

kehna sitam sitam ko chchoro lillah na ab na sataao
ankhein taras gayi hain aa jao ab aa bhi jao

har tamanna dil se rukhsat ho gayi
aa bhi jaao ab toh khilwat ho gayi

tere waade par kahaan tak mera dil fareb khaaye
koi ausa kar bahaana meri aas toot jaaye

ye jalwagahe khaas hai kuch aam nahi hai
kamzor nigahon ka yahan kaam nahi hai

kyun kar kahoon saaki ka karam aam nahi hai
apne hi mukaddar mein koi jaam nahi hai

apna hi lahu deke gulistaan ko nikhaara
apna hi gulistaan mein koi naam nahi hai

bimaar ka dam toot chuka uth chuki mayyat
ab aap ke jaane ka wahaan kaam nahi hai

deewane sab uske hain magar fark hain itna
badnaam hai koi koi badnaam nahi hai

kyun yaar se mehshar mein chchupe dekh rahe ho
keh jo diya tum par koi ilzaam nahi hai

ye gardish e aflaak salaamat hai to tumse
ginwaaunga taare to 'Qamar' naam nahi hai

Comments

  1. Assalaamu Alaikum,
    Can you please post an English Translation of the Above Poem.
    Regards

    ReplyDelete
    Replies
    1. If you have problem in a particular couplet, I am ready to share its translation. Complete translation isn't feasible as of now.

      Delete
  2. ginwaaunga taare to 'Kanwar' naam nahi hai
    I think 'Qamar' not kanwar.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha