ankhon ko noor dil ko mukammal khushi mili

tanhayi mein fariyad toh kar sakta hoon
veerane ko aabaad toh kar sakta hoon
jab chaahoon tumhein mil nahi sakta lekin
jab chaahoon tumhein yaad toh kar sakta hoon

tu nishan e benishan hai
tu bahar e sarmadi hai
tera dekhna ibaadat
teri yaad bandagi hai

ankhon ko noor dil ko mukammal khushi mili
tum mil gaye to mujh ko nayi zindagi mili

sab kuch khuda se maang liya tujhko maang ke
uthte nahi hain haath mere is dua ke baad

ahle talab hain dair o haram ke firaq mein
main khushnaseeb hoon mujhe teri gali mili

saqi teri nigah karam ko main kya kahoon
ahle khirad ko hosh mujhe bekhudi mili

uske junoon e shauq pe dono jahaan nisaar
jisko teri nigah se deewanagi mili

usko mili hai ishq mein meraj e bandagi
sajdon ke waaste jise chaukhat teri mili

aye husn e yaar jab se lagi meri tujh se lauh
har anjuman mein mujhko teri roshni mili

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil