tum to na aaye beet chali rain

tum to na aaye beet chali rain
jaagein more nain paayein naahi chain

tadpe mora jiya bujhne laga diya
nindiya mori kare bain

barse barkha bairaniya
jaage tann mein aganiya
piya tohe payi jaane kaun sautaniya
kaali ghatayein jhoom ke aayein
geet milan ke sakhiyan gaayein

kaahe zulmi sajjan ki
preet mann mein basaayi
main toh barpayi
jaane jaan harjaayi
baithe bithaaye rog lagaaya
dil ko laga ke kya sukh paaya

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil