tere hote janam liya hote

tere hote janam liya hote
phir kabhi toh tujhe mila hota

kaash main sang e dar tera hota
tere qadmon ko choomta hota

tu chala karta meri palkon par
kaash main tera raasta hota

zarra hota jo teri raahon ka
tere talvon ko chhoo liya hota

ladta phirta main tere aada se
teri khaatir main marr gaya hota

tere maskan ke gird shaam o sahar
ban ke mangta main phir raha hota

tu kabhi toh mujhe bhi tak leta
tere takne pe bik gaya hota

tu kabhi toh meri khabar leta
tere kooche mein ghar kiya hota

tu jo aata mere janaaze par
tere hote main marr gaya hota

chhod kar jannatein palat aata
tu meri qabr pe khada hota

hota 'Taahir' tere faqeeron mein
teri dehleez pe pada hota

Comments

  1. Correction needed:
    1-
    ladta phirta main tere "aada" se
    teri khaatir main marr gaya hota
    2-

    tu kabhi toh mujhe bhi tak leta
    tere takne pe "bik" gaya hota

    ReplyDelete
  2. Beautiful naat heart touching.
    But a little correction is
    tere (talbon) ko - tere[ TALVON] ko

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha