baba mehfil sajaaye baithe hain

jo log gardish e dauran se maat khaate hain
fareed ud din hi unko gale lagaate hain
ata ho sadke e saabir ba haq e qutb uddin
faqeer aapke kabse sada lagaate hain

waliyon se saji dekhi baaraat hai baba ki
dulha bane hain baba kya baat hai baba ki

baba mehfil sajaaye baithe hain
aye sitaaron chalo salaam karo

aaj saabir bhi aaye baithe hain
gham ke maaron chalo salaam karo

anwaar baraste hain dil par
barish hai karam ki mehfil par
taiba se mere baba ke liye
sarkar e madina aaye hain

mere baba piya ke aangan mein
aaj phir chishtiya chaman waale
saari duniya bhulaaye baithe hain
aye bahaaron chalo salaam karo

dekhlo chaandni ki lehron pe
mere baba ki nau aayi hai
noor mein wo nahaaye baithe hain
aye kinaaron chalon salaam karo

kafila rok do zahoor yahin
hamsafar aaj mere baba hain
manzilein aaj lai baithe hain
raahguzaron chalo salaam karo

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil