Posts

shaikh muhammad khwaja

jo khwaja shaikh muhammad se aa mile wo zuroor pahunche ali talak jo ali mile to nabi mile jo nabi mile to khuda mila mamba e jood o sakha shaikh muhammad khwaja sunte hain sab ki sada shaikh muhammad khwaja dekhne aaye hain deewane muhammad ke yahan noor e ahmad ki ziya shaikh muhammad khwaja khwaja hamad ke laal shaikh muhammad khwaja gaur se dekhne waalon ko nazar aata hai hu ba hu noor e khuda shaikh muhammad khwaja khoob chamka hai woh is dar se jise nisbat hai dete hain nigdi bana shaikh muhammad khwaja khaaki is naam ki barkat se sukoon milta hai yani har dukh ki dawa shaikh muhammad khwaja

aansu meri aankhon mein nahi aaye hue hain

meri ankhon mein machalte nahi bekaar aansu daastaan hijr e nabi ki hai yahi chaar aansu aansu meri aankhon mein nahi aaye hue hain dariya teri rehmat ke yeh lehraaye hue hain allah rahe haya  hashar mein allah ke aage ham sab ke gunaahon ke woh sharmaaye hue hain maine chaman e khuld ke phoolon ko bhi dekha sab aage tere chehre ke murjhaaye hue hain bhaata nahi koi nazar aata nahi koi dil mein wohi aankhon mein wohi chhaaye hue hain shaahon se dabe kya jo gada hain tere dar ke yeh aye shah e khuban teri sheh paaye hue hain

ya nabi noor hi tum jalwa e yazdaan ki kasam

ya khuda jism mein jab tak yeh mere jaan rahe tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe kuch rahe ya na rahe par yeh dua hai ke ameer niza ke waqt salaamat mera imaan rahe meri chashme alam namnaak karde mujhe aalaishon se paak karde mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rab ghulam e sayyid e laulaak karde zubaan par jab muhammad mustafa ka naam aata hai badi taskeen hoti hai bada aaraam aata hai muhammad mustafa ka naam bhi kya isme aazam hai jahaan koi na kaam aaye wahaan yeh kaam aata hai taazeem se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai aye salle allah naam e muhammad allah kare uspe haraam atishe do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad khuda ka noor tujh mein hu ba hu hai khuda pinha magar tu ru ba ru hai teri azmat ka andaaza ho kisko khuda hai aur khuda ke baad tu hai ya nabi noor hi tum jalwa e yazdaan ki kasam jaise tum ho nahi aisa koi imaan ki kasam isa ko bhi dekha musa ko bhi dekha haroon ki bhi dekha par koi nahi aisa jaise tum ho...

maine dekha use ibtida ho gayi

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai maine purnoor sitaaron mein tumhein dekha hai mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam maine ashqon ki kataaron mein tumhein dekha hai shab e gham ki sahar nahi hoti ho bhi toh mere ghar nahi hoti zindagi tu hi mukhtasar ho ja shab e gham mukhtasar nahi hoti sheeraaza e hayaat pareeshaan ho gaya yeh marhala bhi khair se aasaan ho gaya mere sukoon e dil ko toh hona hi tabah unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya maine dekha use ibtida ho gayi usne dekha mujhe inteha ho gayi yeh kis nazaron se usne aaj dekha yeh uska dekhna dekha na jaaye aisi mili hai apni nazar us nazar ke saath sab chhorne padhe hain mujhe umr bhar ke saath bewafayi toh ki tune aye bewafa jaane duniya yeh kyun bewafa ho gayi hum ibaadat mein rasmon ke qaayil nahi tujhko dekha toh yaad e khuda ho gayi tujhko kya is se koi jiye ya marre rooth jaana toh teri ada ho gayi tum ruke nabz e hasti ka dam ruk gaya tum chale toh qayaamat bapa ho gayi ...

avein bol na banere utte kaawaan sajna nahi aaona

pardes gayan pardesi hoyan terian nitt watanan wal loran jogan kamli karke sutt gayan baithi kakh galiyan de bhoran chaal piya di aisi niraali jivein pehle payiyaan moran yaar fareed main kaafir howan je mukh sajna walon moran kook dilan kaddi rabb sunesi ehna dard mandan diyan aahin tailan baaj na ballan mashaalan kitte dardan baaj na aahin lokan diyan jhokan payiyaan wasdiyan aayiyaan kaddi saddi vi wasdi aahi ki hoya tussan bolan chaddeya assan vekhan chaddna naahi aa kaaga tainu churiyaan paawan kaddi sadde vi baith banere de paigaam koi sajna waala ve main shagan manaawan tere aa ke baith banere sadde shayad aa jaan saajan mere addiyaan chuk chuk yaar fareeda raah takkan main shaam savere avein bol na banere utte kaawaan sajna nahi aaona chete haar shingaar na mainu bhul gayiyaan sab sakhiyaan har dam ohdi raahwan vekhan eh dukhiyaariyaan ankhiyaan tak tak ohdiyaan sunjhiyaan raahwan hun nazaran vi ne thakkiyaan saadik sajna nahi aaona assi pher...

usman ke laal aapka darbar hai aali ajmer ke waali

usman ke laal aapka darbar hai aali ajmer ke waali sayil tere darbaar se jaata nahi khali ajmer ke waali tum ibn e ali fatima zahra ke dulaare hasnain ke pyaare waliyon mein tune paayi hai lya shaan niraali ajmer ke waali tum naayib e rasool ho aye hind ke raja ajmer ke khwaja khush mard hai wo jispe nazar tune hai daali ajmer ke waali dede mujhe kuch waali e baghdaad ka sadka ajdaad ka sadka bhar dijiye yeh daaman e ummeed hai khaali ajmer ke waali jaisa bhi hoon tera hoon bura hoon ya bhala hoon ya khwaja maharaja jaisa bhi hoon tera hoon hoon gunahgaar beshak main hoon toh tera banda tu agar mujhe nibha le teri banda parwari hai tera gham meri musarrat tera dard zindagi hai tu karam se jo bhi dede teri bandaparwari hai acha nahi khota hoon main khote ko nibhaale gar tum na sambhaalo toh mujhe kaun nsambhaale yeh maan liya laayak e darbaar nahi main yeh bhi na sahi kaabil e deedar nahi main har chand agar aapke darkaar nahi main kya banda bhi tera m...

jab andhere chhaa gaye jalwagari kaam aa gayi

ya rab butfaile rasool saqlain ya rab butfaile fatahe badr hunain isiyan e mara do hissa kun dal e rasat ni me bahassan wa baksh ni me hussain behadd ne ajab kaam kiya hadd kar di gunjaaish e tankeed sabhi radd kar di khud to parde mein raha khud ko dikhaane ke liye phir saamne tasveer e muhammad kar di paikar e noor ke tanveer ke sadke jaaun apne khwaabon ki main tabeer ke sadke jaaun ashkaara hai tere husn se haq ki soorat mere aaqa teri tasveer ke sadke jaaun qayanaat use jagmagaayi hai zarre zarre ne taab paayi hai har taraf noor jalwagar unka raushan us noor se khudaayi hai jab andhere chhaa gaye jalwagari kaam aa gayi aye arab ke chaand teri chaandni kaam aa gayi tu hua sab kuch hua jab tu na tha kuch na tha na hua aap sa paida koi mumtaaz nabi aap par khatam hui izzat o aal o aeena sabhi sab tere khad o khaal hain anwaar e ilahi quran se is baat ki milti hai gawaahi tujhe sochna muhabbat tujhe dekhna ibaadat yahi meri bandagi hai main karun teri...