ya nabi noor hi tum jalwa e yazdaan ki kasam

ya khuda jism mein jab tak yeh mere jaan rahe
tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe
kuch rahe ya na rahe par yeh dua hai ke ameer
niza ke waqt salaamat mera imaan rahe

meri chashme alam namnaak karde
mujhe aalaishon se paak karde
mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rab
ghulam e sayyid e laulaak karde

zubaan par jab muhammad mustafa ka naam aata hai
badi taskeen hoti hai bada aaraam aata hai
muhammad mustafa ka naam bhi kya isme aazam hai
jahaan koi na kaam aaye wahaan yeh kaam aata hai

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

khuda ka noor tujh mein hu ba hu hai
khuda pinha magar tu ru ba ru hai
teri azmat ka andaaza ho kisko
khuda hai aur khuda ke baad tu hai

ya nabi noor hi tum jalwa e yazdaan ki kasam
jaise tum ho nahi aisa koi imaan ki kasam

isa ko bhi dekha musa ko bhi dekha
haroon ki bhi dekha par koi nahi aisa jaise tum ho

phire zamaane mein chaar jaanib
nigar e yakta tumhi ko dekha
haseen dekhe jameel dekhe
par ik tumsa tumhi ko dekha

tumhara saani rasaalat mein aab ho na saka
tumhara koi kahin bhi jawaab ho na saka
rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
koi bhi saahib ul mulk ki taab ho na saka

aam hain rehmatein zamaane par
rehmaton ka koki jawaab nahi
tere qurbaan ya rasool allah
tera konain mein jawaab nahi

aisa tujhe khaalik ne tarahdaar banaaya
yusuf ko tera taalib e deedaar banaaya
konain banaaye gaye sarkaar ki khaatir
konain ki khaatir tumhein sarkaar banaaya

martaba haq se kisi aur ko aisa na mila
taaj khusro ki kasam takht e suleiman ki kasam

dono aalam mein nahi koi bhi tum jaisa haseen
shah e yasrabi tere husn ki kise taab jo kare humsareen
na gulon mein aisi shaguztabi
na yeh rang o bu yeh taazgi
yeh anokhi chhab yeh nayi phaban
yeh adaayein pyaari yeh saadgi
teri misl koi hua na ho
tere sadke jaaun pyare nabi

arbaab e nazar ko koi aisa na milega
banda toh mil hi jaayega maula na milega
taareekh agar dhoondhegi saani e muhammad
saani toh badi cheez hai saaya na milega

roya shab e hijra mein bahut ashq bahaaya
itne mein musavvir ko zara reham jo aaya
nakshe kayin tasvir ke woh saamne laaya
bola ke yeh isa hain yeh yusuf yeh musa
maine kaha inmein se kisi par nahi shaida
jab saamne wo laaya woh shabeehe shah e waala
besaakhta us waqt zubaan se meri nikla
mukh chand badr shah shaani e
maththe chamke laat nooraani e
kaali zulf te ankh mastaani e
makhmoor ankhi in madd bhariyaan
teri soorat nu main jaan aakhan
jaan aage jaan jahaan aakhan
sach aakhan te rabb di shaan aakhaan
jis shaan toh shaanan sab baniyan
subhaanallah mah ajmal ka
mah aasan ka mah akmal ka
kithe mehar ali kithe teri sana
gustaakh ankhi kithe jaa lariyan

dono aalam mein nahi koi bhi tum jaisa haseen
maahe taaba ki kasam mehar e darakhshaah ki kasam 

ya muhammad teri soorat hai khuda ki soorat
log bante hain wali unki ghulami se fana
ghaus ul azam ki kasam hind ke sultan ki kasam

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil