jab andhere chhaa gaye jalwagari kaam aa gayi

ya rab butfaile rasool saqlain
ya rab butfaile fatahe badr hunain
isiyan e mara do hissa kun dal e rasat
ni me bahassan wa baksh ni me hussain

behadd ne ajab kaam kiya hadd kar di
gunjaaish e tankeed sabhi radd kar di
khud to parde mein raha khud ko dikhaane ke liye
phir saamne tasveer e muhammad kar di

paikar e noor ke tanveer ke sadke jaaun
apne khwaabon ki main tabeer ke sadke jaaun
ashkaara hai tere husn se haq ki soorat
mere aaqa teri tasveer ke sadke jaaun

qayanaat use jagmagaayi hai
zarre zarre ne taab paayi hai
har taraf noor jalwagar unka
raushan us noor se khudaayi hai

jab andhere chhaa gaye jalwagari kaam aa gayi
aye arab ke chaand teri chaandni kaam aa gayi

tu hua sab kuch hua
jab tu na tha kuch na tha

na hua aap sa paida koi mumtaaz nabi
aap par khatam hui izzat o aal o aeena sabhi

sab tere khad o khaal hain anwaar e ilahi
quran se is baat ki milti hai gawaahi

tujhe sochna muhabbat tujhe dekhna ibaadat
yahi meri bandagi hai main karun teri talaawat

ya sahib al jamal e wa ya syed al bashar
mi wajhikal munir o laqad nuwwiral qamar
la yumkin us sana o kamaa kaana haquhu
bad az khuda buzurg tui qissa mukhtasar

itni khuli hai hampe haqeeqat tere rukh ki
allah bhi karta hai talaawat tere rukh ki

jo andheron mein the gum unko ujaala mil gaya
kaali kamli se jo nikli roshni kaam aa gayi

tann se nikli saaf yeh kehti hui rooh e bilaal
shukr hai ishq e nabi mein zindagi kaam aa gayi

jaan bhi di hui usi ki thi
haq to yeh hai haq ada na hua

sunn ke deewaana tumhaara chal diya munqar naqeer
qabr mein ya mustafa deewaangi kaam aa gayi

aasiyon ko jab koi poochne waala na tha
aapki aise mein rehmat ya nabi kaam aa gayi

deen e haq ke waaste sajde mein sar katwa diya
mustafa ke laal ne ki bandagi kaam aa gayi

sajde mein sar kataane ko aakhir kata diya
lekin khuda ke naam ka danka baja diya

bete bhi diye sar bhi diya
ghar bhi diya yaar ki khaatir

qurban khuda ki raah mein sab kuch luta diya
baaki jo raha tha kuch toh sar apna jhuka diya

ab lailah to padh liya le maza taseer ki
lailah ki teh ke neeche khoon hai shabbeer ka

ho mubaarik tujhko purnam wajah bakhshish marhaba
shaan e mehboob e khuda mein shayari kaam aa gayi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha