aansu meri aankhon mein nahi aaye hue hain
meri ankhon mein machalte nahi bekaar aansu
daastaan hijr e nabi ki hai yahi chaar aansu
aansu meri aankhon mein nahi aaye hue hain
dariya teri rehmat ke yeh lehraaye hue hain
allah rahe haya hashar mein allah ke aage
ham sab ke gunaahon ke woh sharmaaye hue hain
maine chaman e khuld ke phoolon ko bhi dekha
sab aage tere chehre ke murjhaaye hue hain
bhaata nahi koi nazar aata nahi koi
dil mein wohi aankhon mein wohi chhaaye hue hain
shaahon se dabe kya jo gada hain tere dar ke
yeh aye shah e khuban teri sheh paaye hue hain

Listen ansu meri ankhon mein naat in the vice of Syed Manzoor ul Konain Shah.
ReplyDelete