usman ke laal aapka darbar hai aali ajmer ke waali

usman ke laal aapka darbar hai aali ajmer ke waali
sayil tere darbaar se jaata nahi khali ajmer ke waali

tum ibn e ali fatima zahra ke dulaare hasnain ke pyaare
waliyon mein tune paayi hai lya shaan niraali ajmer ke waali

tum naayib e rasool ho aye hind ke raja ajmer ke khwaja
khush mard hai wo jispe nazar tune hai daali ajmer ke waali

dede mujhe kuch waali e baghdaad ka sadka ajdaad ka sadka
bhar dijiye yeh daaman e ummeed hai khaali ajmer ke waali

jaisa bhi hoon tera hoon bura hoon ya bhala hoon
ya khwaja maharaja jaisa bhi hoon tera hoon

hoon gunahgaar beshak main hoon toh tera banda
tu agar mujhe nibha le teri banda parwari hai

tera gham meri musarrat tera dard zindagi hai
tu karam se jo bhi dede teri bandaparwari hai

acha nahi khota hoon main khote ko nibhaale
gar tum na sambhaalo toh mujhe kaun nsambhaale

yeh maan liya laayak e darbaar nahi main
yeh bhi na sahi kaabil e deedar nahi main
har chand agar aapke darkaar nahi main
kya banda bhi tera meri sarkaar nahi main

jaisa bhi hoon tera hoon bura hoon ya bhala hoon
kyun jaaye kisi dar pe tere dar ka sawaali ajmer ke waali

darshan ko tarasti hun more bhaag jagaao ajmer bulaao
choomun main tere roza e anwaar ki jaali ajmer ke waali

dhun hai ke 'Naseer' aapke darbaar mein pahunche sarkaar mein pahunche
lekar dar e aqdas pe woh ikhlaas ki daali ajmer ke waali

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil