shohra jahaan mein aam hai baba fareed ka

shohra jahaan mein aam hai baba fareed ka
har lab pe aaj naam hai baba fareed ka

bigde hue naseeb sanwar jaayenge abhi
bigdi banaana kaam hai baba fareed ka

sagir ko ik nigah se sabir bana diya
koi kisi ka koi kisi ka
par mere baba fareed uddin

majnu ko mili laila yusuf ko zulekha
aur mujhe baba fareed uddin

takhayyur mein farishton ne talaashi li to kya nikla
faqat ek dil ke kone par yahi misra likha dekha

sagir ko ik nigah se sabir bana diya
kitna bada makaam hai baba fareed ka

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil