marhaba salle ala sayyid e makki madni

behadd ne ajab kaam kiya hadd kar di
gunjaaish e tankeed sabhi radd kar di
khud to parde mein rahe khud ko dikhaane ke liye
phir saamne tasveer e muhammad kar di

paikar e noor ki tanveer ke sadke jaaun
apne khwaabon ki taabeer ke main sadke jaaun
aashkaara hai tere husn se haq ki soorat
mere aaka teri tasveer ke sadke jaaun

marhaba salle ala sayyid e makki madni
soorat ko teri dekh kar kuch muh se na nikla
nikla to yeh nikla marhaba salle ala

aaj roshan hua chaandni ho gayi
jab muhammad ke chehre se parda utha
arsh se farsh tak roshni ho gayi

main wo shaayar nahi jo chaand keh dun unke chehre ko
main unke nakshe paa pe chaand ko qurban karta hoon

jisne dekhe nain matwale tere
koi daata bana koi ghaus bana koi sabir bana
koi dehli mein jaake nizamii bana
koi ganje shakar bakhuda ho gaya

jisne dekhe nain matwale tere
mast o bekhud wo na ho toh kya kare
ik nazar jo dekh le kehta phire
do jahan tumpe fida sayyid e makki madni

marhaba salle ala sayyid e makki madni
do jahan tumpe fida sayyid e makki madni

maangne waalon ko sultan bana deti hai
aapki shaan e ata sayyid e makki madni

apna mehboob tumhein kyun na khudaayi samjhe
tum ho mehboob e khuda sayyid e makki madni

ghaus e azam hai koi aapki nisbat ke tufail
hai koi khwaja piya sayyid e makki madni

yun to moosa bhi hain isa bhi hain yusuf bhi magar
koi tumsa na hua sayyid e makki madni 

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil