eid ka chaand

chaake daaman ko jo dekha to mila eid ka chaand
apni tasveer kahan bhool gaya eid ka chaand

jaane kyun aapke rukhsaar mehak uthte hain
jab kabhi kaan mein chupke se kaha eid ka chaand

door veeran basere mein piya ho jaise
gham ki deewar se dekha toh laga eid ka chaand

talkhiyan badh gayi jab zeest ke paimane mein
ghol kar dard ke maaron ne piya eid ka chaand

chashm to busat e aflak mein khoyi 'Sagir'
dil ne ek aur jagah dhoondh liya eid ka chaand

Comments

  1. Qawwali Video - Friends, do you know how Qawwali started in the world. In order to remain mutually friendly, people of every religion used to pray for their favorites. Some of them celebrated their favorites according to religion with their language and chanting method. People of some time and past started pleasing their Ishta through devotional music. A separate line of Sufi music also emerged in all but the Bengali country and some other Islamic countries. As time passed, people became interested in devotional music. Then at one time in India, Khwaja used to speak of Garib Nawaz.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil