ham hosh bhi apne bhool gaye

dil ko bata kaise tasalli dun
sabr isko agar nahin aata
chashme purnam ko kaise samjhaun
isko jab tu nazar nahi aata

muhabbat ki koi manzil nahi hai
muhabbat mauj hai saahil nahi hai
meri afurdagi pe hasne waale
tere pehlu mein shayad dil nahi hai

wo kuch is tarah se aaye
jalwa dikhate hue

ham hosh bhi apne bhool gaye
imaan bhi apna bhool gaye

hosh jaata raha nigaah ke saath
sabr rukhsat hua ek aah ke saath

ye kisne hi aate
ulta naqaab chehre se

ik dil hi nahi us bazm mein ham
na jaane kya kya bhool gaye

shaam hi se bujha sa rehta hai
dil hua hai chirag mukhlis ka

chain milta nahin zara dilko
tumse milkar ye kya hua dil kho gaya

ye kisko darde tune
mehfil mein kiso dekha gya

kise ne mool na pucha dil e shikasta ka
koi khareed ke toota payala kya karta

zanjeer mein zulfon ki fas jaane ko kya kahiye
kya kaam kiya dil ne deewane ko kya kahiye

mere tarah khuda kare tere kisi pe aaye dil
tu bhi kaleja thaam ke kehta phire ke haay (mera dil)

dillagi hi dillagi mein dil gaya
dil lagane ka natija mil gaya

tum kyun haste tumhein kya mil gaya
main to rota hun ki gaya (mera dil)

koocha e yaar mein jaake ye pukara main aaj
ek dil bechta hun hai koi lene waala
dilfaroshi ki saza sunke yakayak gharse
masbe naaz aa gaya darwaze pe woh matwala
phir mujhe dekhke khush hoke laga yun kehne
kyun mian kaun pukara tha abhi dilwala
arz ki maine maujood hai haazir hai ye dil
par dil se dil bechta hoon hai koi lene waala
phir jo kuch dil mein aayi to utha kar dil ko
le liya haath mein dil khoob tha dekha bhaala
wah re takdeer wo kuch soch ke bola zaalim
sir shana gada main teri main nahi lene waala
main kehta reh gaya khata e muhabbat ki achhi saza di
mere dil ki duniya bana ke mita di

dil ko ulat phulat ke dukhane se faayda?
keh to diya teer e nazar kaamyaab hai

khuda ke liye apni nazaron ko
roko warna gaya mera dil

ab maikade mein rehne ke siwa
ae peer e mugan koi chaara nahi

jis raste se hum aaye the
peete hi wo rasta bhool gaye

jo baat thi unko kehne ki
wo baat hi kehna bhool gaye

gairon ke phasane yaad rahe
hum apna phasana bhool gaye

darte darte afsana e dil
aaj unse humne keh to diya

ye yaad nahi ghabrahat mein
kya yaad raha kya bhool gaye

ab hazrat e waaiz aa aa kar
masjid mein namaazein padhte hain

jab sajde buton ko hote the
shayad wo zamana bhool gaye

Comments

  1. ye yaad nahi kab rahat mein

    Its actually: ye yaad nahi ghabrahat mein

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil