Rukh pe rehmat ka jhoomar sajaye

sana bashar ke liye hai, bashar sana ke liye
tamaam hamd sanawaar hain khuda ke liye

ata ke samne ya rab khata ka zikr hi kya
ke tu ata ke liye hai bashar khata ke liye

wo rang layi hai rehmat teri sarre mehshar
ke bekhata bhi tarasne lage khata ke liye

is aan se humne kabhi kinara na kiya
aur tune dil azurda hamara na kiya

humne to jahannum ki bahut ki tajbeer
lekin teri rehmat ne gawara na kiya

ya muhammad tere jalwon mein wo rehnai hai
dekhne par bhi meri ankh tamannayi hai

hai khuda bande kareem aur muhammad bhi kareem
doo kareemon mein gunahgar ki ban aayi hai

meetha hai ajab salle allah naam e muhammad
ankhon ki ziya dil ki jila naam e muhammad

ye naam kabhi kaam bigadne nahi deta
bigde bhi ko leta hai bana naam e muhammad

hargiz na guroor se gazab se baitho
darbar e muhammad mein adab se baitho

rukh pe rehmat ka jhoomar sajaye
kamli waale ki mehfil saji hai

gunahgaron na ghabrao
wo aa gaye muhammad

karam bankar wafa bankar sakha bankar ata bankar
khuda ka noor aasman se utra mustafa bankar

mujh ko mehsoos ye ho raha hai
unki mehfil mein jalwagari hai

aashiqon ab agar chahte ho ziyarat dar e mustafa ki

dam nikal jaye mere rooh e muhammad dekh kar
phir na dekhun gair ko soohe muhammad dekh kar

meri mushkil ho mere mushkil kusha ke saamne
kash dam nikle muhammad mustafa ke saamne

tmanna hai ke ab yun hi basar ho
haram mein shaam kaaba mein sahar ho

ibadat ho to itni mautbar ho
mere sar ho nabi ka sang e dar ho

dar e aaka pe aise jaan nikle
zubaan par naam gumbad par nazar ho

meri aahon mein ya rab ye asar ho
yahaan tadpun madine mein khabar ho

judaiyan de dukhde main kis nu sunawan
mere dil vi chaunda madine nu jaawan

bula lo bula lo
madine de waali

madine ud ke jaa pahunchun
agar allah de de par

bhai raahi madine nu jaan waale
kaaba jaaween te mainu vi naal lai ja

paawan wasta rab da rab jaane
tutte dilan da mand da haal lai ja

akhin saab nu gumbad de waali nu
ik waari sadiyo eh sawal lai ja

'Ameer sabri' jaan e nikal chali
jaan waale ehnu vi naal lai ja

oh vekho madine nu jande ne loki
ziyarat madine nu pande ne loki

tere sadke madine nu jaan waale
kamli waale nu mera salaam keh dein

ik pagal deewana vichoda vich
paya sikda e subah shaam keh diyan

rab waaste sadlao vich kadman
hun jeona hoya haraam das dayin

jaali ronde di ankhiyan de naal laake
es ghulam da haal tamaam keh dayin

zehnaseeb madina naseeb ho jaye
ye benaseeb bhi sahib naseeb ho jaye

na naam lun  kabhi wahid haram ko jaane ka
tawaaf e ku e muhammad naseeb ho jaye

bulawe je mainu duniya da waali
main raj raj ke vekhan sunehri o jaali

mai ve jaake suute naseeb jagawan
mera dil vi chunda main madine nu jaawan

aashiqon tum agar chahte ho ziyarat dar e mustafa ki
dil ki janib nighahein jhuka lo saamne mustafa ki gali hai

wasta sayyid e karbala ka
kamli waaleya kamli de kaj parde
kaali kamli di chhaan da wasta e
jithe tere nawase da khoon duleya
os jagah os thaan da wasta e
jinu karan farishte salaam aake
bhaagan waali os maa da waasta e
kamli waleya kamli di laj rakhle
tenu tere yi naa da waasta e

waasta sayyid e karbala ka
karde karam es kheti nu hari kar de
mere lutte hoye chain da waasta e
tere durre dandaan da waasta e
tere abru qausain da waasta e
teri chasm e mazaab da waasta e
tere lab e lalain da waasta e
gunahgar te nazar e karam kar de
tenu tere hussain da waasta e

waasta sayyid e karbala ka
waasta fatima ki rida ka

meri jholi bhi sarkar bhar do
aapne sabki jholi bhari hai

wo sama kaisa zeeshan hoga
jab khuda mustafa se kahega

ab to sajde se har ko utha le
aap ki saare unmat bani hai

Comments

  1. translation to english please

    ReplyDelete
  2. Ab To Sajde Se Sar (not har) ko utha Lo
    AP ki Sari Umat Bari or Badi (not bani) Hai

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil