Zehaal e miskeen makun taghaful

Zehaal e miskeen makun taghaful
varaye naina banayein batiyan

ke taab e hijran nadaram aye jaan
na liho kahe lagaye chchatiyan

shabaan e hijran daraaz chun zulf
roz e waslaj ch umr kotah

sakhi piya ko jo main na dekhun
to kaise kaatun andheri ratiyan

shaam savere nain bichcha ke raah takun main saajan ki
raam hi jaane kab chamkegi kismat more angan ki

nain churake jab se sayiyan door kahin pardes gaye
birhan ki ankhiyon se barse bin sawaan rut sawaan ki

Barkha rut jab chcham chcham barse
manwa roye naina tarse
taron mein jab chanda chamke
dard uthe mann mein tham tham ke
birha sulge jab more tann mein
chupke chupke mann angan mein
aas ke bandhan toot gaye hain
baalam mo se rooth gaye hain

sooli upar sej hamari kis bid sona hoye
gagan mandal par sej piya ki kis bid milna hoye
jauhari ki gat jauhar jaane jo koi jauhari hoye
ghayal ki gat ghayal jaane ke jin laagi hoye
dard ki maari ban ban dolun ved na miliyo koi
'Meera' ki tab peer mitte jab ved saawariya hoye
he ri main to prem deewani mera dard na jaane koi

yakayak az dil do chashm e jaadu
basad farebam baburd taskeen

kise pari hai jo jaa sunaye
hamare pi ko hamari batiyan

joganiya ka bhes banake
pi ko dhundhan jaun ri
nagari nagari dware dware
pi pi shabad sunaun ri
daras bhikharan jag mein ho ke
darshan bichchiya paun ri
tann mann un par waarun sajni
joganiya kehlaun ri

cho sham e sozan cho zarra hairaan
ze mehr aamah bagashtam aakhir

na neend naina na ang chaina
na aap aavein na bheje patiyan

piya milan ki aas hai dil mein
nainon mein barsaatein hain
tanhayi ke chup angan mein
meri unse baatein hain

more banke sanjeele sanwariya
lillah more ab daras dikha
bin darsan mar na jaun kahin
mora jivan hai tore darshan mein

tohe yaad karat mora ang ang hai
mora bhaag suhaag tore sang hai
ik bar jo aa more angan mein
ho jaun suhaagan sakhiyan mein

mohe chchap dikhla more sanwariya
tori preet mein ho gayi banwariya
tohe nagar nagar main dhoondh phiri
tohe bukat hun main ban ban mein

mohe preet tumhari maar gayi
tum jeet gaye main haar gayi
main haar ke bhi balihar gayi
aisa prem kasa more tann mann mein

bahaq e roz e visaal e dilbar
ke daad mara fareb 'Khusro'

sapit mann ke daraye raakhun
jo paye paaun piya ki khatiyan

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha