barson ke intezaar ka anjaam likh diya

barson ke intezaar ka anjaam likh diya
kaagaz pe shaam kaat ke phir shaam likh diya

bikhri padi thi toot ke kaliyan zameen par
tarteeb de ke maine tera naam likh diya

aasan nahin tarq e muhabbat ki dastaan
do aansuon ne aakhiri paigaam likh diya

humko kisi ke husn ne shayar bana diya
hoton ka naam le na sake jaam likh diya

allah zindagi se kahan tak nibhaun main
us bewafa ke saath mera naam likh diya

taqseem ho rahi thi khudai ki naimatein
ik ishq bach gaya so mera naam likh diya

Qaisar kisi ki den hai ye shayari meri
uski ghazal pe kisne mera naam kih diya

Comments

  1. Thanks a lot for posting the lyrics... Enjoyed the rendition even more!!

    ReplyDelete
  2. thanks for posting this awesome lyrics...

    ReplyDelete
  3. hit hai ustad soorur k mamla m ustad se accha koi nhi

    ReplyDelete
  4. Expecting the same in English.

    ReplyDelete
  5. Doo aansu ne aakhri paigam likh diya ❤

    ReplyDelete
  6. Humko kisi k husan ne shayir bana diya

    ReplyDelete
  7. Humko kisi k husan ne shayir bana diya

    ReplyDelete
  8. Taqseem ho rahi thi khudayi ki neymatein...
    Ek ishq bach gaya so mere naam likh diya

    ReplyDelete
    Replies
    1. So, It's been 2024 AND Enjoyed the LYRICS!!

      Delete
  9. Us bewafa ke sath mera naam likh diya 💔

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha