Nargisi ankh dorre gulabi
Nargisi ankh dorre gulabi
Masti ye husn hai mai ke pyale
Shaikh gar dekh le tujhko zaalim
Apni tauba wahin tod dale
Koi dekhe toh kis kashmakash mein
Aaj bemaar ulfat hai unko
Aaj ho maut hai aane waali
Aaj hi wo bhi hai aane waale
Baad marne ke meri lahad par
Jaane kya soch kar dilbar aaya
Aa gaye unki aankhon mein aansu
Phool jab meri turbat pe daale
Kuch toh kar ehtaram e muhabbat
Kuch to pase adab rakh lahad ka
Chaadar e gul chadhane se pehle
Apne haathon se mehndi chchupa le
Can anyone please tell meaning of "Dore Gulabi"?
ReplyDelete