saadgi toh hamari zara dekhiye

saadgi toh hamari zara dekhiye
aitbaar aapke waade par kar liya

masti mein ik haseen ko khuda keh gaye hain hum
jo kuch bhi keh gaye hain baja keh gaye hain hum

wah raftgi toh dekho hamare khaloos ki
iss saadgi se tujhko khuda keh gaye hum

kis chok kis tamanna kis darja saadgi se
hum aapki shikayat karte hain aap hi se

tere adaab ke rooh daad ho gaye hain hum
dare khaloos se barbaad ho gaye hain hum

baat toh sirf ik raat ki thi magar
intezaar aapka umr bhar kar liya

ishq mein uljhanein pehle hi kam na theen
aur paida naya darde sar kar liya

log darte hain qaaatil ki parchayi se
humne qaatil ke dil mein hi ghar kar liya

zikr e ik bewafa aur sitamgar ka tha
shikwa kiya sitam ka toh namdeeda ho gaye
tum toh zara si baat par ranjeeda ho gaye

tera zulm gar nahi shaamil meri barbaadi mein
phir ye ankhein bheeg rahi hain kyun mere afsaane se

meri haalat dekh kar
tum kyun pareshan ho gaye

zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
aapka aisi baaton se kya waasta

aap toh bewafa aur sitamgar nahi
aapne kisliye munh udhar kar liya

jab junoon aftaab hota hai
gham ke sagir uchchal deta hoon
taskara jab wafa ka hta hai
main tumhari misaal deta hoon

kyun ankh milayi thi
kyun aag lagayi thi
ab rukh ko chchupa baithe
kar ke mujhe deewana

zindagi bhar ke shikwe gile the bahut
waqt itna kahaan tha ke dohraate hum

ek hichki mein keh daali sab daastan
humne kisse ko yun mukhtasar kar liya

beqaraari milegi mitega sukoon
chain chchin jayegi neend udd jayegi

apna anjaam sab humko maloom tha
aap se dil ka sauda magar kar liya

zindagi ke safar mein bahut door tak
jab koi dost aaya na humko nazar

humne ghabra ke tanhayiyon se saba
ek dushman ko khud humsafar kar liya

Comments

  1. Awesome Site bro for lyrics like this one is for software Patchsofts

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  3. Nice information, valuable and excellent design, as share good stuff with good ideas and concepts, lots of great information and inspiration, both of which I need, Very good points you wrote here..Great stuff...I think you've made some truly interesting points.Keep up the good work.
    English Meaning of Aitbaar

    ReplyDelete
  4. Can you tell me about the poet of this ghazal

    ReplyDelete
    Replies
    1. I have the same question..
      Can you help?

      Delete
    2. Nusrat Fateh Ali Khan Sahab

      Delete
    3. Makhte main naam kisi saba ka hai


      humne ghabra ke tanhayiyon se saba
      ek dushman ko khud humsafar kar liya

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha